SEARCH RESULTS
Showing search results for "chaak-daaman"
Sher MATCHES FOR "chaak-daaman"
Sher
sunegaa kaun merii chaak-daamaanii kaa afsaana
yahaa.n sab apne apne pairahan kii baat karte hai.n
Kaleem Aajiz
Sher
phir chaak-daamanii kii hame.n qadr kyuu.n na ho
jab aur duusraa nahii.n ko.ii libaas paas
Natiq Gulavthi
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
saik.Do.n chaak nazar aane lage daaman me.n
le junuu.n khul ga.ii.n raahe.n ye bayaabaano.n kii
Jaleel Manikpuri
Sher
daaman ko chaak kiijiye is ehtiyaat se
ahl-e-jahaa.n ko zaKHm-e-jigar kaa gumaa.n na ho
Himayat Ali Shayar
Sher
daaman ke chaak siine ko baiThe hai.n jab bhii ham
kyuu.n baar baar suu.ii se dhaagaa nikal gayaa
Bharat Bhushan Pant
Sher
Taufeeq Hyderabadi
Sher
dariida-jaib garebaa.n bhii chaak chaahtaa hai
vo ishq kyaa hai jo daaman ko paak chaahtaa hai
Zaki Tariq
Sher
ab ke junuu.n me.n faasla shaayad na kuchh rahe
daaman ke chaak aur girebaa.n ke chaak me.n
Meer Taqi Meer
Sher
bahut latiif hai.n kaifiyyate.n mohabbat kii
vo bul-havas hai jo kartaa hai jaib o daaman chaak
Mirza Ehsan Beg
Sher
aa.nsuu hai.n kafan-posh sitaare hai.n kafan-ra.ng
lo chaak kiye dete hai.n daamaan-e-sahar ham
Siraj Lakhnavi
Sher
chain hii kab lene detaa thaa kisii kaa Gam hame.n
ye na dekhaa umr bhar apnaa bhii daaman chaak thaa
Mohammad Yaqoob Aamir
Sher
ye kyaa ki aashiqii me.n bhii fikr-e-ziyaa.n rahe
daaman kaa chaak taa-ba-jigar jaanaa chaahiye
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
chhupaa.e huu.n mai.n Gam-e-ishq apnii rag rag me.n
na chaak hai miraa daaman na aastii.n nam hai
Jageshwar Dayal Nashtar Kanpuri
Sher
zindagii me.n pahle itnii to pareshaanii na thii
ta.ng-daamaanii thii lekin chaak-daamaanii na thii