SEARCH RESULTS
Showing search results for "chale-chalo"
Sher MATCHES FOR "chale-chalo"
Sher
ik dasht-e-be-amaa.n kaa safar hai chale-chalo
rukne me.n jaan o dil kaa zarar hai chale-chalo
Waheed Akhtar
Sher
masjid ho madrasa ho ki majlis ki mai-kada
mahfuuz shar se kuchh hai to ghar hai chale-chalo
Waheed Akhtar
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Raza Mauranvi
Sher
laa.ii hayaat aa.e qazaa le chalii chale
apnii KHushii na aa.e na apnii KHushii chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
chal chal ke thak gayaa hai ki manzil nahii.n ko.ii
kyuu.n vaqt ek mo.D pe Thahraa hu.aa saa hai
Shahryar
Sher
Chandrabhan Khayal
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
jab mai.n chaluu.n to saaya bhii apnaa na saath de
jab tum chalo zamiin chale aasmaa.n chale
Jaleel Manikpuri
Sher
sutuun-e-daar pe rakhte chalo saro.n ke charaaG
jahaa.n talak ye sitam kii siyaah raat chale
Majrooh Sultanpuri
Sher
kashtii hai ghaaT par tuu chale kyuu.n na duur aaj
kal bas chale chale na chale chal uThaa to laa
Natiq Gulavthi
Sher
hayaat le ke chalo kaa.enaat le ke chalo
chalo to saare zamaane ko saath le ke chalo
Makhdoom Mohiuddin
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
yaade.n chale.n KHayaal chalaa ashk-e-tar chale
le kar payaam-e-shauq ka.ii naama-bar chale
Hosh Tirmizi
Sher
sahar ke saath chale raushnii ke saath chale
tamaam umr kisii ajnabii ke saath chale
Khurshid Ahmad Jami
Sher
jab chal pa.De to barq kii raftaar se chale
baiThe rahe to paa.nv kii zanjiir ho ga.e
Shahzad Ahmad
Sher
saaqiyaa! yaa.n lag rahaa hai chal-chalaav
jab talak bas chal sake saaGar chale