SEARCH RESULTS
Showing search results for "chashm-e-mushtaaq"
Sher MATCHES FOR "chashm-e-mushtaaq"
Sher
lahuu hii kitnaa hai jo chashm-e-tar se niklegaa
yahaa.n bhii kaam na arz-e-hunar se niklegaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
husn ke jalve nahii.n muhtaaj-e-chashm-e-aarzuu
sham.a jaltii hai ijaazat le ke parvaane se kyaa
Anand Narayan Mulla
Sher
gosh-e-mushtaaq-e-sadaa-e-naala-e-dil ab kahaa.n
sher agar dil ke lahuu me.n Duub kar nikle to kyaa
Ziauddin Ahmad Shakeb
Sher
uTThii hai chashm-e-saaqii-e-mai-KHaana bazm par
ye vaqt vo nahii.n ki halaal-o-haraam dekh
Firaq Gorakhpuri
Sher
Shah Naseer
Sher
hai ye taqdiir kii KHuubii ki nigaah-e-mushtaaq
pardaa ban jaa.e agar parda-nashii.n tak pahu.nche
Jagdish Sahay Saxena
Sher
maayuus na ho be-ruKHii-e-chashm-e-jahaa.n se
shaa.ista-e-ehsaas ko.ii kaam kiye jaa
Anwar Sabri
Sher
mizaaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchaane
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
vahii kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaa.n hai 'iqbaal'
na ko.ii rabt banaa aur na rishta TuuTaa
Iqbal Haider
Sher
aasmaano.n ke khule baab kise dikhte hai.n
chashm-e-pur-aab ke girdaab kise dikhte hai.n
Poonam Meera
Sher
ahvaal dekh kar mirii chashm-e-pur-aab kaa
dariyaa se aaj TuuT gayaa dil habaab kaa
Joshish Azimabadi
Sher
is chashm-e-siyah-mast pe gesuu hai.n pareshaa.n
mai-KHaane pe ghanghor ghaTaa khel rahii hai
Nazar Hyderabadi
Sher
Taashshuq Lakhnavi
Sher
kisii maraz kii davaa chashm-e-ashk-baar nahii.n
na intizaar ke qaabil na KHvaab ke qaabil
Jaleel Manikpuri
Sher
dil-e-sarshaar miraa chashm-e-siyah-mast tirii
jazba Takraa de na paimaane se paimaane ko