SEARCH RESULTS
Showing search results for "chhe.d"
Sher MATCHES FOR "chhe.d"
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
abhii na chhe.D mohabbat ke giit ai mutrib
abhii hayaat kaa maahaul KHush-gavaar nahii.n
Sahir Ludhianvi
Sher
mai.n chup karaataa huu.n har shab umaDtii baarish ko
magar ye roz ga.ii baat chhe.D detii hai
Gulzar
Sher
ajiib lutf kuchh aapas kii chhe.D-chhaa.D me.n hai
kahaa.n milaap me.n vo baat jo bigaa.D me.n hai
Insha Allah Khan Insha
Sher
chhe.D mat har dam na aa.iina dikhaa
apnii suurat se KHafaa baiThe hai.n ham
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
gahrii KHamosh jhiil ke paanii ko yuu.n na chhe.D
chhii.nTe u.De to terii qabaa par bhii aa.e.nge
Mohsin Naqvi
Sher
'Gaalib' hame.n na chhe.D ki phir josh-e-ashk se
baiThe hai.n ham tahayya-e-tuufaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Sher
Akhtar Shirani
Sher
chhe.D kar jaise guzar jaatii hai doshiiza havaa
der se KHaamosh hai gahraa samundar aur mai.n
Zeb Ghauri
Sher
lai me.n Duubii hu.ii mastii bharii aavaaz ke saath
chhe.D de ko.ii Gazal ik na.e andaaz ke saath
Unknown
Sher
KHaamushii chhe.D rahii hai ko.ii nauha apnaa
TuuTtaa jaataa hai aavaaz se rishta apnaa
Saqi Faruqi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
tazkira dehli-e-marhuum kaa ai dost na chhe.D
na sunaa jaa.egaa ham se ye fasaana hargiz
Altaf Hussain Hali
Sher
chhe.D maashuuq se kiije to zaraa tham tham kar
roz ke naama o paiGaam bure hote hai.n