SEARCH RESULTS
Showing search results for "chhe.d-khaani"
Sher MATCHES FOR "chhe.d-khaani"
Sher
dard-e-sar hai terii sab pand-o-nasiihat naaseh
chho.D de mujh ko KHudaa par na kar ab sar KHaalii
Mardan Ali Khan Rana
Sher
sau.np kar KHaana-e-dil Gam ko kidhar jaate ho
phir na paa.oge agar us ne ye ghar chho.D diyaa
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
ajiib lutf kuchh aapas kii chhe.D-chhaa.D me.n hai
kahaa.n milaap me.n vo baat jo bigaa.D me.n hai
Insha Allah Khan Insha
Sher
Naseem Bharat Puri
Sher
KHum me.n subuu me.n jaam me.n niyyat lagii rahii
mai-KHaane hii me.n ham rahe mai-KHaana chho.D kar
Jaleel Manikpuri
Sher
shahr KHaalii hai kise eid mubaarak kahiye
chal diye chho.D ke makka bhii madiina vaale
Akhtar Usman
Sher
maanaa ki viraasat me.n milii KHaana-badoshii
lekin ye zamii.n chho.D ke ham jaa nahii.n sakte
Fatima Taj
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
Baqaullah 'Baqa'
Sher
raste me.n un ko chhe.D ke khaate hai.n gaaliyaa.n
baazaar kii miThaa.ii bhii hotii hai kyaa laziiz
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
ab to utnii bhii mayassar nahii.n mai-KHaane me.n
jitnii ham chho.D diyaa karte the paimaane me.n
Divakar Rahi
Sher
'momin' KHudaa ke vaaste aisaa makaa.n na chho.D
dozaKH me.n Daal KHuld ko kuu-e-butaa.n na chho.D
Momin Khan Momin
Sher
Afzal Khan
Sher
shahr me.n thii naa-saaz tabii.at beTe kii
gaa.nv me.n baiThii maa.n ne khaanaa chho.D diyaa
Iftikhar Haidar
Sher
chho.D ke maal-o-daulat saarii duniyaa me.n apnii
KHaalii haath guzar jaate hai.n kaise kaise log
Akbar Hyderabadi
Sher
na kah tuu shaiKH mujhe zohd siikh mastii chho.D
tirii pasand judaa hai mirii pasand judaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
chho.D kar mujh ko tire sahn mai.n jaa baiThaa hai
pa.D ga.ii jaise tire saaya-e-diivaar mai.n jaan
Afzal Khan
Sher
kar diyaa tiiro.n se chhalnii mujhe saaraa lekin
KHuun hone ke liye us ne jigar chho.D diyaa
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
chhe.Daa agar mire dil-e-naalaa.n ko aap ne
phir bhuul jaa.iyegaa bajaanaa sitaar kaa