SEARCH RESULTS
Showing search results for "chhurii"
Sher MATCHES FOR "chhurii"
Sher
chhurii kaa tiir kaa talvaar kaa to ghaa.o bharaa
lagaa jo zaKHm zabaa.n kaa rahaa hamesha haraa
Ismail Merathi
Sher
ishq-e-mizhgaa.n me.n hazaaro.n ne gale kaTvaa.e
iid-e-qurbaa.n me.n jo vo le ke chhurii baiTh gayaa
Shad Lakhnavi
Sher
Unknown
Sher
tumhaare shahr kaa mausam ba.Daa suhaanaa lage
mai.n ek shaam churaa luu.n agar buraa na lage
Qaisarul Jafri
Sher
ab to KHushii kaa Gam hai na Gam kii KHushii mujhe
be-his banaa chukii hai bahut zindagii mujhe
Shakeel Badayuni
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Hasrat Mohani
Sher
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na mu.nh lagaa
chhuTtii nahii.n hai mu.nh se ye kaafar lagii hu.ii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
'Gaalib' chhuTii sharaab par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.n roz-e-abr o shab-e-maahtaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
daftar se mil nahii.n rahii chhuTTii vagarna mai.n
baarish kii ek buu.nd na be-kaar jaane duu.n
Azhar Faragh
Sher
din bhar kii mashaqqat se badan chuur hai lekin
maa.n ne mujhe dekhaa to thakan bhuul ga.ii hai
Munawwar Rana
Sher
kal mai.n ne us ko dekhaa to dekhaa nahii.n gayaa
mujh se bichha.D ke vo bhii bahut Gam se chuur thaa
Muneer Niyazi
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye