SEARCH RESULTS
Showing search results for "chilmo.n"
Sher MATCHES FOR "chilmo.n"
Sher
KHuub parda hai ki chilman se lage baiThe hai.n
saaf chhupte bhii nahii.n saamne aate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
tujhe na maane ko.ii tujh ko is se kyaa majruuh
chal apnii raah bhaTakne de nukta-chiino.n ko
Majrooh Sultanpuri
Sher
aa andaliib mil ke kare.n aah-o-zaariyaa.n
tuu haa.e gul pukaar mai.n chillaa.uu.n haa.e dil
Rind Lakhnavi
Sher
lagaa rahaa huu.n mazaamiin-e-nau ke phir ambaar
KHabar karo mere KHirman ke KHoshaa-chiino.n ko
Meer Anees
Sher
Nushur Wahidi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
husn har haal me.n hai husn paraaganda naqaab
ko.ii parda hai na chilman ye ko.ii kyaa jaane
Arsh Malsiyani
Sher
ajab bahaar dikhaa.ii lahuu ke chhii.nTo.n ne
KHizaa.n kaa rang bhii ra.ng-e-bahaar jaisaa thaa
Junaid Hazin Lari
Sher
khetiyaa.n chhaalo.n kii hotii thii.n lahuu ugte the
kitnaa zarKHez thaa vo dar-badarii kaa mausam
Laiq Aajiz
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
jalva ho to jalva ho parda ho to parda ho
tauhiin-e-tajallii hai chilman se na jhaa.nkaa kar
Fana Nizami Kanpuri
Sher
dil hu.aa jaan hu.ii un kii bhalaa kyaa qiimat
aisii chiizo.n ke kahii.n daam diye jaate hai.n
Bekhud Dehlvi
Sher
chhilko.n ke hai.n ambaar magar maGz nadaarat
duniyaa me.n musalmaa.n to hai.n islaam nahii.n hai
Abdul Aziz Khalid
Sher
merii aa.nkhe.n ye kahaa kartii hai.n aksar mujh se
aap dekhii hu.ii chiizo.n ko bahut dekhte hai.n
Rajesh Reddy
Sher
Khayal Amrohvi
Sher
mere andar ko.ii taktaa rahaa rasta us kaa
mai.n hamesha ke liye rah ga.ii chilman ban ke
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
dil ka.ii saal se marghaT kii tarah suunaa hai
ham ka.ii saal se raushan hai.n chitaa.o.n kii tarah
aqeel nomani
Sher
agar chilman ke baahar vo but-e-kaafir-adaa nikle
zabaan-e-shaiKH se salle-alaa salle-alaa nikle