SEARCH RESULTS
Showing search results for "chuke"
Sher MATCHES FOR "chuke"
Sher
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham
Thukraa na de.n jahaa.n ko kahii.n be-dilii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
aa.e the ha.nste khelte mai-KHaane me.n 'firaaq'
jab pii chuke sharaab to sanjiida ho ga.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
tum bhuul kar bhii yaad nahii.n karte ho kabhii
ham to tumhaarii yaad me.n sab kuchh bhulaa chuke
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
sun chuke jab haal meraa le ke a.ng.Daa.ii kahaa
kis Gazab kaa dard zaalim tere afsaane me.n thaa
Shad Azimabadi
Sher
ab apnaa iKHtiyaar hai chaahe jahaa.n chale.n
rahbar se apnii raah judaa kar chuke hai.n ham
Faiz Ahmad Faiz
Sher
sau baar jis ko dekh ke hairaan ho chuke
jii chaahtaa hai phir use ik baar dekhnaa
Saba Akbarabadi
Sher
Ada Jafarey
Sher
haqiiqato.n me.n zamaana bahut guzaar chuke
ko.ii kahaanii sunaa.o ba.Daa a.ndheraa hai
Bashir Badr
Sher
andar ke haadso.n pe kisii kii nazar nahii.n
ham mar chuke hai.n aur hame.n is kii KHabar nahii.n
Farhat Ehsas
Sher
ham KHuun kii qiste.n to ka.ii de chuke lekin
ai KHaak-e-vatan qarz adaa kyuu.n nahii.n hotaa
Wali Aasi
Sher
hosh o havaas o taab o tavaa.n 'daaG' jaa chuke
ab ham bhii jaane vaale hai.n saamaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
ham apnii zindagii to basar kar chuke 'ra.iis'
ye kis kii ziist hai jo basar kar rahe hai.n ham
Rais Amrohvi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
dil ko niyaaz-e-hasrat-e-diidaar kar chuke
dekhaa to ham me.n taaqat-e-diidaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
suurat chhupaa.iye kisii suurat-parast se
ham dil me.n naqsh aap kii tasviir kar chuke