SEARCH RESULTS
Showing search results for "chunane"
Sher MATCHES FOR "chunane"
Sher
KHudaa ko maan ki tujh lab ke chuumne ke sivaa
ko.ii ilaaj nahii.n aaj kii udaasii kaa
Zafar Iqbal
Sher
shaam ko aa.oge tum achchhaa abhii hotii hai shaam
gesu.o.n ko khol do suuraj chhupaane ke liye
Qamar Jalalvi
Sher
Hasrat Mohani
Sher
daf.atan tark-e-ta.alluq me.n bhii rusvaa.ii hai
uljhe daaman ko chhu.Daate nahii.n jhaTkaa de kar
Arzoo Lakhnavi
Sher
dar-o-diivaar pe shakle.n sii banaane aa.ii
phir ye baarish mirii tanhaa.ii churaane aa.ii
Kaif Bhopali
Sher
kisii ke aib chhupaanaa savaab hai lekin
kabhii kabhii ko.ii parda uThaanaa pa.Dtaa hai
Azhar Inayati
Sher
is qadar mai.n ne sulagte hu.e ghar dekhe hai.n
ab to chubhne lage aa.nkho.n me.n ujaale mujh ko
Kamil Bahzadi
Sher
kyaa kyaa dilo.n kaa KHauf chhupaanaa pa.Daa hame.n
KHud Dar ga.e to sab ko Daraanaa pa.Daa hame.n
Jaleel 'Aali'
Sher
terii baato.n ko chhupaanaa nahii.n aataa mujh se
tuu ne KHushbuu mire lahje me.n basaa rakkhii hai
Iqbal Ashhar
Sher
hamdamo dil ke lagaane me.n kaho lagtaa hai kyaa
par chhu.Daanaa is kaa mushkil hai lagaanaa sahl hai
Bahadur Shah Zafar
Sher
dostii chhuuTe chhu.Daa.e se kisuu ke kis tarah
band hotaa hii nahii.n rasta dilo.n kii raah kaa
Waliullah Muhib
Sher
hamesha tinke hii chunte guzar ga.ii apnii
magar chaman me.n kahii.n aashiyaa.n banaa na sake
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
aap se ab kyaa chhupaanaa aap ko.ii Gair hai.n
ho chukaa huu.n mai.n kisii kaa aap bhii ho jaa.iye