SEARCH RESULTS
Showing search results for "chunte"
Sher MATCHES FOR "chunte"
Sher
hamesha tinke hii chunte guzar ga.ii apnii
magar chaman me.n kahii.n aashiyaa.n banaa na sake
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
auro.n kaa bataayaa hu.aa rastaa nahii.n chunte
jo 'ishq chunaa karte hai.n duniyaa nahii.n chunte
Bhaskar Shukla
Sher
Nida Fazli
Sher
ham amn chaahte hai.n magar zulm ke KHilaaf
gar ja.ng laazmii hai to phir ja.ng hii sahii
Sahir Ludhianvi
Sher
KHuub parda hai ki chilman se lage baiThe hai.n
saaf chhupte bhii nahii.n saamne aate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
sab ik charaaG ke parvaane honaa chaahte hai.n
ajiib log hai.n diivaane honaa chaahte hai.n
Asad Badayuni
Sher
mai.n phuul chuntii rahii aur mujhe KHabar na hu.ii
vo shaKHs aa ke mire shahr se chalaa bhii gayaa
Parveen Shakir
Sher
iqraar hai ki dil se tumhe.n chaahte hai.n ham
kuchh is gunaah kii bhii sazaa hai tumhaare paas
Hasrat Mohani
Sher
Muneer Niyazi
Sher
aur is se pahle ki saabit ho jurm-e-KHaamoshii
ham apnii raa.e kaa iz.haar karnaa chaahte hai.n
Saleem Kausar
Sher
unhe.n bhii jiine ke kuchh tajrabe hu.e ho.nge
jo kah rahe hai.n ki mar jaanaa chaahte hai.n ham
Wali Aasi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
kyuu.n chalte chalte ruk ga.e viiraan raasto
tanhaa huu.n aaj mai.n zaraa ghar tak to saath do
Adil Mansuri
Sher
milegaa manzil-e-maqsuud kaa usii ko suraaG
a.ndherii shab me.n hai chiite kii aa.nkh jis kaa charaaG
Allama Iqbal
Sher
jo dost hai.n vo maa.ngte hai.n sulh kii du.aa
dushman ye chaahte hai.n ki aapas me.n ja.ng ho