SEARCH RESULTS
Showing search results for "chuu.Dii"
Sher MATCHES FOR "chuu.Dii"
Sher
sahar hote hii ko.ii ho gayaa ruKHsat gale mil kar
fasaane raat ke kahtii rahii TuuTii hu.ii chuu.Dii
Ejaz Obaid
Sher
ab to KHushii kaa Gam hai na Gam kii KHushii mujhe
be-his banaa chukii hai bahut zindagii mujhe
Shakeel Badayuni
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
Momin Khan Momin
Sher
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na mu.nh lagaa
chhuTtii nahii.n hai mu.nh se ye kaafar lagii hu.ii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
'Gaalib' chhuTii sharaab par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.n roz-e-abr o shab-e-maahtaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
daftar se mil nahii.n rahii chhuTTii vagarna mai.n
baarish kii ek buu.nd na be-kaar jaane duu.n
Azhar Faragh
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
barsaat tham chukii hai magar har shajar ke paas
itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake
Ahsan Yusuf Zai
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
Allama Iqbal
Sher
ba.ad marne ke bhii chho.Dii na rifaaqat merii
merii turbat se lagii baiThii hai hasrat merii