SEARCH RESULTS
Showing search results for "colony"
Sher MATCHES FOR "colony"
Sher
na.e tarz kii colony me.n sab kuchh ek saa hai
apnaa ghar bhii haath ba.Dii mushkil se aataa hai
Moin Shadab
Sher
dil kii choTo.n ne kabhii chain se rahne na diyaa
jab chalii sard havaa mai.n ne tujhe yaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
ab to mushkil hai kisii aur kaa honaa mire dost
tuu mujhe aise hu.aa jaise corona mire dost
Idris Babar
Sher
nahii.n hai mere muqaddar me.n raushnii na sahii
ye khi.Dkii kholo zaraa sub.h kii havaa hii lage
Bashir Badr
Sher
allaah allaah husn kii ye parda-daarii dekhiye
bhed jis ne kholnaa chaahaa vo diivaana hu.aa
Arzoo Lakhnavi
Sher
Ibn-e-Insha
Sher
thaa va.ada shaam kaa magar aa.e vo raat ko
mai.n bhii kivaa.D kholne fauran nahii.n gayaa
Anwar Shuoor
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
ulajhtii jaatii hai.n girhe.n adhuure lafzo.n kii
ham apnii baato.n ke saare agar magar khole.n
Ambarin Salahuddin
Sher
Ambarin Salahuddin
Sher
ko.ii davaa bhii nahii.n hai yahii to ronaa hai
sad ehtiyaat ki phailaa hu.aa corona hai
Wajeeh Sani
Sher
dastak me.n ko.ii dard kii KHushbuu zaruur thii
darvaaza kholne ke liye ghar kaa ghar uThaa
Qaisarul Jafri
Sher
ai rashk-e-maah raat ko muTThii na kholnaa
mehdii kaa chor haath se jaa.e na chhuuT ke