SEARCH RESULTS
Showing search results for "d.m"
Sher MATCHES FOR "d.m"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
Mirza Ghalib
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e
Obaidullah Aleem
Sher
Mirza Ghalib
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
zindagii tuu ne mujhe qabr se kam dii hai zamii.n
paa.nv phailaa.uu.n to diivaar me.n sar lagtaa hai
Bashir Badr
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
husn ke samajhne ko umr chaahiye jaanaa.n
do gha.Dii kii chaahat me.n la.Dkiyaa.n nahii.n khultii.n
Parveen Shakir
Sher
yahaa.n libaas kii qiimat hai aadmii kii nahii.n
mujhe gilaas ba.De de sharaab kam kar de
Bashir Badr
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuu.n dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
dil de to is mizaaj kaa parvardigaar de
jo ranj kii gha.Dii bhii KHushii se guzaar de
Dagh Dehlvi
Sher
tum mujhe chho.D ke jaa.oge to mar jaa.uu.ngaa
yuu.n karo jaane se pahle mujhe paagal kar do
Bashir Badr
Sher
Nida Fazli
Sher
aavaaz de ke dekh lo shaayad vo mil hii jaa.e
varna ye umr bhar kaa safar raa.egaa.n to hai
Muneer Niyazi
Sher
insaa.n kii KHvaahisho.n kii ko.ii intihaa nahii.n
do gaz zamii.n bhii chaahiye do gaz kafan ke baad
Kaifi Azmi
Sher
vo aa rahe hai.n vo aate hai.n aa rahe ho.nge
shab-e-firaaq ye kah kar guzaar dii ham ne