SEARCH RESULTS
Showing search results for "daabe"
Sher MATCHES FOR "daabe"
Sher
akbar dabe nahii.n kisii sultaa.n kii fauj se
lekin shahiid ho ga.e biivii kii nauj se
Akbar Allahabadi
Sher
tujh ko merii na mujhe terii KHabar jaa.egii
eid ab ke bhii dabe paa.nv guzar jaa.egii
Zafar Iqbal
Sher
ek sannaaTaa dabe-paa.nv gayaa ho jaise
dil se ik KHauf saa guzraa hai bichha.D jaane kaa
Gulzar
Sher
Navab Sultan Jahan Begam
Sher
jab tak thaa dam me.n dam na dabe aasmaa.n se ham
jab dam nikal gayaa to zamii.n ne dabaa liyaa
Abid Jalalpuri
Sher
vo mire paas se guzre to ye ma.aluum hu.aa
zindagii yuu.n bhii dabe paa.nv guzar jaatii hai
Sharib Lakhnavi
Sher
sub.h aatii hai dabe paa.nv chalii jaatii hai
gher letaa hai mujhe shaam Dhale sannaaTaa
Chandrabhan Khayal
Sher
yuu.n tasavvur me.n dabe paa.nv tirii yaad aa.ii
jis tarah shaam kii baa.nho.n me.n sitaare aa.e
Athar Raz
Sher
gumaan hotaa hai mujh ko tumhaare aane kaa
havaa idhar se dabe paa.nv jab guzartii hai
Zaki Tariq
Sher
aayaa thaa pichhlii raat dabe paa.nv mere ghar
paazeb kii rago.n me.n jhanak chho.D kar gayaa
Anjum Irfani
Sher
fitne dabe-dabaa.e the jitne pa.De hu.e
baiThe kahii.n ho tum to vo sab uTh kha.De hu.e
Nooh Narvi
Sher
kaise aataa hai dabe paa.nv gunaaho.n kaa KHayaal
kitnii KHaamoshii se darvaaza khulaa thaa pahle
Fay Seen Ejaz
Sher
mat ta.ng ho kare jo falak tujh ko ta.ng-dast
aahista khii.nchiye jo dabe zer-e-sa.ng dast
Baqaullah 'Baqa'
Sher
jaras ne muzhda-e-manzil sunaa ke chau.nkaayaa
nikal chalaa thaa dabe paa.nv kaarvaa.n apnaa
Yagana Changezi
Sher
jhukii jhukii sii nazar be-qaraar hai ki nahii.n
dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n
Kaifi Azmi
Sher
baatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n ham
sau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
kaaGaz me.n dab ke mar ga.e kii.De kitaab ke
diivaana be-pa.Dhe-likhe mash.huur ho gayaa