SEARCH RESULTS
Showing search results for "daabte"
Sher MATCHES FOR "daabte"
Sher
sivaa.e KHaak ke baaqii asar nishaa.n se na the
zamii.n se dab ga.e dabte jo aasmaa.n se na the
Meer Anees
Sher
bhaage the ham bahut so usii kii sazaa hai ye
ho kar asiir daabte hai.n raahzan ke paa.nv
Mirza Ghalib
Sher
akbar dabe nahii.n kisii sultaa.n kii fauj se
lekin shahiid ho ga.e biivii kii nauj se
Akbar Allahabadi
Sher
tujh ko merii na mujhe terii KHabar jaa.egii
eid ab ke bhii dabe paa.nv guzar jaa.egii
Zafar Iqbal
Sher
baatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n ham
sau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
tum suno yaa na suno haath ba.Dhaa.o na ba.Dhaa.o
Duubte Duubte ik baar pukaare.nge tumhe.n
Irfan Siddiqi
Sher
tuu ne kahaa na thaa ki mai.n kashtii pe bojh huu.n
aa.nkho.n ko ab na Dhaa.np mujhe Duubte bhii dekh
Shakeb Jalali
Sher
samundaro.n ko bhii hairat hu.ii ki Duubte vaqt
kisii ko ham ne madad ke liye pukaaraa nahii.n
Iftikhar Arif
Sher
is Duubte suuraj se to ummiid hii kyaa thii
ha.ns ha.ns ke sitaaro.n ne bhii dil to.D diyaa hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
Gam-e-jahaa.n ho ruKH-e-yaar ho ki dast-e-aduu
suluuk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyuu.n aajizii pe naaz kare
Allama Iqbal
Sher
ek sannaaTaa dabe-paa.nv gayaa ho jaise
dil se ik KHauf saa guzraa hai bichha.D jaane kaa