SEARCH RESULTS
Showing search results for "daaman-e-manzil"
Sher MATCHES FOR "daaman-e-manzil"
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
mere talvo.n ke lahuu se hogii raushan har jihat
rah-ravaan-e-raah-e-manzil ho.nge shashdar dekhnaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
jo merii chashm ke parde shariik ho jaate
kamaal-e-daaman-e-abr-e-bahaar ba.Dh jaataa
Rasheed Lakhnavi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
kufr-o-islaam ne maqsad ko pahu.nchne na diyaa
ka.aba-o-dair ko sa.ng-e-rah-e-manzil samjhaa
Muneer Shikohabadi
Sher
KHumaar-e-qurbat-e-manzil thaa naa-rasii kaa javaaz
galii me.n aa ke mai.n us kaa makaan bhuul gayaa
Anjum Khaleeq
Sher
gulchii.n bahaar-e-gul me.n na kar man-e-sair-e-baaG
kyaa ham Gubaar daaman-e-baad-e-sabaa ke hai.n
Abdullla Khan Mehr Lakhnavi
Sher
nazar karam kii faraavaaniyo.n pe pa.Dtii hai
phir apne daaman-e-KHaakii ko dekhtaa huu.n mai.n
Saghar Nizami
Sher
sunaa hai us ko bahut se uchakke dekhte hai.n
so ham bhii daaman-e-taqvaa jhaTak ke dekhte hai.n
Ameerul Islam Hashmi
Sher
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jaada-e-manzil mujhe
jaa rahaa huu.n jis taraf le jaa rahaa hai dil mujhe
Jigar Moradabadi
Sher
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
daaman-e-sabr ke har taar se uThtaa hai dhu.aa.n
aur har zaKHm pe ha.ngaama uThaa aaj bhii hai
Baqar Mehdi
Sher
jaras ne muzhda-e-manzil sunaa ke chau.nkaayaa
nikal chalaa thaa dabe paa.nv kaarvaa.n apnaa
Yagana Changezi
Sher
tum KHud hii chale aa.oge shaayad sar-e-manzil
ik raah nikaalii hai mirii dar-badarii ne
Shahab Sarmadi
Sher
ye aks-e-aab hai yaa is kaa daaman-e-ra.ngii.n
ajiib tarah kii surKHii sii baadbaan me.n hai
Akbar Hameedi
Sher
daaman-o-jeb-o-garebaa.n kaa nahii.n ko.ii malaal
Gam ye hai dast-e-junuu.n kal ke liye kaam nahii.n