SEARCH RESULTS
Showing search results for "dabistan e"
Sher MATCHES FOR "dabistan e"
Sher
bahut taviil mirii daastaan-e-Gam thii magar
Gazal se kaam liyaa muKHtasar banaane kaa
Saleem Ahmed
Sher
daastaan-e-Gam-e-dil un ko sunaa.ii na ga.ii
baat big.Dii thii kuchh aisii ki banaa.ii na ga.ii
Jigar Moradabadi
Sher
muKHtasar ye hai hamaarii daastaan-e-zindagii
ik sukuun-e-dil kii KHaatir umr bhar ta.Dpaa kiye
Moin Ahsan Jazbi
Sher
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
raqam karuu.n bhii to kaise mai.n daastaan-e-vafaa
huruuf phirte hai.n begaane mere kaaGaz se
Arshad Jamal Sarim
Sher
mirii daastaan-e-hasrat vo sunaa sunaa ke ro.e
mire aazmaane vaale mujhe aazmaa ke ro.e
Saifuddin Saif
Sher
ishq ho jaa.egaa merii daastaan-e-ishq se
raat bhar jaagaa karoge is kahaanii ke liye
Agha Hajju Sharaf
Sher
ye sarguzisht-e-zamaana ye daastaan-e-hayaat
adhuurii baat me.n bhii rah ga.ii kamii merii
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
dohraa.ii jaa sakegii na ab daastaan-e-ishq
kuchh vo kahii.n se bhuul ga.e hai.n kahii.n se ham
Bismil Saeedi
Sher
daastaan-e-husn jab phailii to laa-mahduud thii
aur jab simTii to teraa naam ho kar rah ga.ii
Ali Ahmad Rifat
Sher
daastaan-e-shauq kitnii baar dohraa.ii ga.ii
sun.ne vaalo.n me.n tavajjoh kii kamii paa.ii ga.ii
Aale Ahmad Suroor
Sher
Mirza Hadi Ruswa
Sher
kuchh ab ke ham bhii kahe.n us kii daastaan-e-visaal
magar vo zulf-e-pareshaa.n khule to baat chale
Aziz Hamid Madni
Sher
kaaGaz tamaam kilk tamaam aur ham tamaam
par daastaan-e-shauq abhii naa-tamaam hai
Aadil Aseer Dehlvi
Sher
Fani Badayuni
Sher
tum to sirf ik diid kii hasrat pe barham ho ga.e
kam se kam puurii to sunte daastaan-e-aarzuu
Qamar Jalalvi
Sher
zaraa sii baat thii arz-e-tamannaa par biga.D baiThe
vo merii umr bhar kii daastaan-e-dard kyaa sunte