SEARCH RESULTS
Showing search results for "daraKHt-e-naarasaa"
Sher MATCHES FOR "daraKHt-e-naarasaa"
Sher
kisii ko saayaa kisii ko gul-o-samar degaa
haraa-bharaa hai daraKHt-e-rivaaj rahne do
Rahi Fidai
Sher
daraKHt-e-zard me.n jaise haraa saa rahtaa hai
vo Thiik usii tarah mujhii me.n bharaa saa rahtaa hai
Mahender Kumar Sani
Sher
khii.nch lii thii ik lakiir-e-naa-rasaa KHud darmiyaa.n
faasla-dar-faasla-dar-faasla honaa hii thaa
Zulfiqar Naqvi
Sher
jo paa liyaa tujhe mai.n KHud ko Dhuu.nDne niklaa
tumhaare qurb ne bhii zaKHm-e-naa-rasaa.ii diyaa
Hazin Ludhianvi
Sher
Shah Naseer
Sher
aah-e-be-asar niklii naala naa-rasaa niklaa
ik KHudaa pe takiya thaa vo bhii aap kaa niklaa
Aziz Qaisi
Sher
kaam hai meraa taGayyur naam hai meraa shabaab
meraa na.ara inqilaab o inqilaab o inqilaab
Josh Malihabadi
Sher
mausam tumhaare saath kaa jaane kidhar gayaa
tum aa.e aur baur na aayaa daraKHt par
Abbas Tabish
Sher
naqqaash-e-azal ne to sar-e-kaaGaz-e-baad aah
kyaa KHaak likhaa umr kii ta.amiir kaa naqsha
Waliullah Muhib
Sher
bazm-e-aGyaar me.n us ne mujhe daryaaft kiyaa
ba.ad muddat ke use yaad mirii aa.ii hai
Mohammad Wilayatullah
Sher
KHumaar-e-qurbat-e-manzil thaa naa-rasii kaa javaaz
galii me.n aa ke mai.n us kaa makaan bhuul gayaa
Anjum Khaleeq
Sher
ham bhii ai jaan-e-man itne to nahii.n naakaara
kabhii kuchh kaam tuu ham ko bhii to farmaayaa kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ye soch kar ki daraKHto.n me.n chhaa.nv hotii hai
yahaa.n babuul ke saa.e me.n aa ke baiTh ga.e