SEARCH RESULTS
Showing search results for "daraaziyaa.n"
Sher MATCHES FOR "daraaziyaa.n"
Sher
mohabbat kii to ko.ii had, ko.ii sarhad nahii.n hotii
hamaare darmiyaa.n ye faasle, kaise nikal aa.e
Khalid Moin
Sher
Jaun Eliya
Sher
ye Gam nahii.n hai ki ham dono.n ek ho na sake
ye ranj hai ki ko.ii darmiyaan me.n bhii na thaa
Jamal Ehsani
Sher
bahut hasiin sahii sohbate.n gulo.n kii magar
vo zindagii hai jo kaa.nTo.n ke darmiyaa.n guzre
Jigar Moradabadi
Sher
zamii.n ke log to kyaa do dilo.n kii chaahat me.n
KHudaa bhii ho to use darmiyaan laa.o mat
Obaidullah Aleem
Sher
usii ko kahte hai.n jannat usii ko dozaKH bhii
vo zindagii jo hasiino.n ke darmiyaa.n guzre
Jigar Moradabadi
Sher
baaqii rahe na farq zamiin aasmaan me.n
apnaa qadam uThaa le.n agar darmiyaa.n se ham
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Kaif Bhopali
Sher
har bazm kyuu.n numaa.ish-e-zaKHm-e-hunar bane
har bhed apne dosto.n ke darmiyaa.n na khol
Saleem Shahid
Sher
masiih-o-KHizr kii umre.n nisaar ho.n us par
vo ek lamha jo yaaro.n ke darmiyaa.n guzre
Majeed Amjad
Sher
ishq kyaa hai KHuubsuurat sii ko.ii afvaah bas
vo bhii mere aur tumhaare darmiyaa.n u.Dtii hu.ii
Nomaan Shauque
Sher
mujh se bahut qariib hai tuu phir bhii ai 'muniir'
parda saa ko.ii mere tire darmiyaa.n to hai
Muneer Niyazi
Sher
bichha.Dte vaqt anaa darmiyaan thii varna
manaanaa dono.n ne ik duusre ko chaahaa thaa
Ateeq Anzar
Sher
jaise do mulko.n ko ik sarhad alag kartii hu.ii
vaqt ne KHat aisaa khii.nchaa mere us ke darmiyaa.n
Mohsin Zaidi
Sher
dariyaa ko apnii mauj kii tuGyaaniyo.n se kaam
kashtii kisii kii paar ho yaa darmiyaa.n rahe