SEARCH RESULTS
Showing search results for "darban"
Sher MATCHES FOR "darban"
Sher
ab mai.n samjhaa tire ruKHsaar pe til kaa matlab
daulat-e-husn pe darbaan biThaa rakkhaa hai
Unknown
Sher
dil hii to hai siyaasat-e-darbaa.n se Dar gayaa
mai.n aur jaa.uu.n dar se tire bin sadaa kiye
Mirza Ghalib
Sher
alag siyaasat-e-darbaa.n se dil me.n hai ik baat
ye vaqt merii rasaa.ii kaa vaqt hai ki nahii.n
Aziz Hamid Madni
Sher
kyuu.nkar ba.Dhaa.uu.n rabt na darbaan-e-yaar se
aaKHir ko.ii to milne kii tadbiir chaahiye
Mardan Ali Khan Rana
Sher
darbaa.n se aap kahte the kuchh mere baab me.n
suntaa thaa mai.n bhii paas hii dar ke kha.Daa hu.aa
Nizam Rampuri
Sher
qibla-o-ka.aba ye to piine pilaane ke hai.n din
aap kyaa halq ke darbaan bane baiThe hai.n
Mubarak Azimabadi
Sher
ik mauj-e-fanaa thii jo roke na rukii aaKHir
diivaar bahut khii.nchii darbaan bahut rakkhaa
Suhail Ahmed Zaidi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
rozgaar-e-‘ishq bhii ik kaam hai lekin huzuur
aap apne ghar kaa ik darbaan kar diije mujhe
Mumtaz Iqbal
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
jis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n rozii
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa do
Allama Iqbal
Sher
Munawwar Rana
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
tar-daamanii pe shaiKH hamaarii na jaa.iyo
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n
Khwaja Meer Dard
Sher
daaman pe ko.ii chhii.nT na KHanjar pe ko.ii daaG
tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho