SEARCH RESULTS
Showing search results for "daroge"
Sher MATCHES FOR "daroge"
Sher
aataa hai daaG-e-hasrat-e-dil kaa shumaar yaad
mujh se mire gunah kaa hisaab ai KHudaa na maa.ng
Mirza Ghalib
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
baarish hu.ii to ghar ke dariiche se lag ke ham
chup-chaap sogvaar tumhe.n sochte rahe
Farhat Abbas Shah
Sher
Hilal Fareed
Sher
us dariiche me.n bhii ab ko.ii nahii.n aur ham bhii
sar jhukaa.e hu.e chup-chaap guzar jaate hai.n
Javed Akhtar
Sher
baiThaa hu.aa huu.n lag ke dariiche se mahv-e-yaas
ye shaam aaj mere baraabar udaas hai
Akash Arsh
Sher
suuraj lihaaf o.Dh ke soyaa tamaam raat
sardii se ik parinda dariiche me.n mar gayaa
Athar Nasik
Sher
sunoge haal jo meraa to daad kyaa doge
yahii kahoge ki jhuuTaa hai tuu zamaane kaa
Muztar Khairabadi
Sher
Josh Malsiani
Sher
bas dariiche se lage baiThe rahe ahl-e-safar
sabza jaltaa rahaa aur yaad-e-vatan aatii rahii
Khursheed Rizvi
Sher
raat din naama-o-paiGaam kahaa.n tak doge
saaf kah diijiye milnaa hame.n manzuur nahii.n
Hasrat Mohani
Sher
raat dariiche tak aa kar ruk jaatii hai
band aa.nkho.n me.n us kaa chehra rahtaa hai
Fatima Hasan
Sher
Dhaa.npaa kafan ne daaG-e-uyuub-e-barahnagii
mai.n varna har libaas me.n na.ng-e-vajuud thaa
Mirza Ghalib
Sher
'jalaal' ahd-e-javaanii hai doge dil sau baar
abhii kii tauba nahii.n e'tibaar ke qaabil
Jalal Lakhnavi
Sher
itne zaalim na bano kuchh to muravvat siikho
tum pe marte hai.n to kyaa maar hii Daaloge hame.n
Idris Azad
Sher
Makhmoor Dehlvi
Sher
aaGosh me.n mahkoge dikhaa.ii nahii.n doge
tum nik.hat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hai.n