SEARCH RESULTS
Showing search results for "darvaaze"
Sher MATCHES FOR "darvaaze"
Sher
ab to is raah se vo shaKHs guzartaa bhii nahii.n
ab kis ummiid pe darvaaze se jhaa.nke ko.ii
Parveen Shakir
Sher
chho.Dne mai.n nahii.n jaataa use darvaaze tak
lauT aataa huu.n ki ab kaun use jaataa dekhe
Shahzad Ahmad
Sher
Azhar Faragh
Sher
eid kaa din hai so kamre me.n pa.Daa huu.n 'aslam'
apne darvaaze ko baahar se muqaffal kar ke
Aslam Kolsarii
Sher
sirf darvaaze talak jaa ke hii lauT aayaa huu.n
aisaa lagtaa hai ki sadiyo.n kaa safar kar aayaa
Kaifi Wijdani
Sher
jaane kyaa Thaan ke uThtaa huu.n nikalne ke liye
jaane kyaa soch ke darvaaze se lauT aataa huu.n
Irfan Siddiqi
Sher
din-raat pa.Daa rahtaa huu.n darvaaze pe apne
is Gam me.n ki ko.ii kabhii aataa thaa idhar se
Barq Dehlvi
Sher
ab tuu darvaaze se apne naam kii taKHtii utaar
lafz na.nge ho ga.e shohrat bhii gaalii ho ga.ii
Iqbal Sajid
Sher
us se milne ke liye jaa.e to kyaa jaa.e ko.ii
us ne darvaaze pe aa.iina lagaa rakkhaa hai
Farhat Ehsas
Sher
har lahza us ke paa.nv kii aahaT pe kaan rakh
darvaaze tak jo aayaa hai andar bhii aa.egaa
Saleem Shahid
Sher
ilaahii kyaa khule diidaar kii raah
udhar darvaaze band aa.nkhe.n idhar band
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
sabhii darvaaze khule hai.n mirii tanhaa.ii ke
saarii duniyaa ko mayassar hai rifaaqat merii
Anjum Saleemi
Sher
dastak dene vaale tujh ko ilm nahii.n
darvaaze ke dono.n jaanib taalaa hai
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
dil jalaa.o yaa diye aa.nkho.n ke darvaaze par
vaqt se pahle to aate nahii.n aane vaale