SEARCH RESULTS
Showing search results for "dau.dii"
Sher MATCHES FOR "dau.dii"
Sher
Asghar Gondvi
Sher
avval avval KHuub dau.Dii kashtii-e-ahl-e-havas
aaKHir aaKHir Duub marne kaa maqaam aa hii gayaa
Natiq Gulavthi
Sher
shab-e-visaal kab aatii hai mere ghar ai charKH
ki us ke piichhe se dau.Dii sahar nahii.n aatii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
raushnii Dhuu.nD ke laanaa ko.ii mushkil to na thaa
lekin is dau.D me.n har shaKHs ko jalte dekhaa
Azm Bahzad
Sher
jab Gam hu.aa cha.Dhaa lii.n do botale.n ikaTThii
mullaa kii dau.D masjid 'akbar' kii dau.D bhaTTii
Akbar Allahabadi
Sher
Bashir Badr
Sher
Khalid Mahmood
Sher
aatii hai baat baat mujhe baar baar yaad
kahtaa huu.n dau.D dau.D ke qaasid se raah me.n
Dagh Dehlvi
Sher
haa.n dikhaa de ai tasavvur phir vo sub.h o shaam tuu
dau.D piichhe kii taraf ai gardish-e-ayyaam tuu
Allama Iqbal
Sher
ik musalsal dau.D me.n hai.n manzile.n aur faasle
paa.nv to apnii jagah hai.n raasta apnii jagah
Iftikhar Imam Siddiqi
Sher
kuchh mah-jabii.n libaas ke fashion kii dau.D me.n
paabandii-e-libaas se aage nikal ga.e
Sarfaraz Shahid
Sher
diivaana-vaar dau.D ke ko.ii lipaT na jaa.e
aa.nkho.n me.n aa.nkhe.n Daal ke dekhaa na kiijiye
Yagana Changezi
Sher
'firaaq' dau.D ga.ii ruuh sii zamaane me.n
kahaa.n kaa dard bharaa thaa mire fasaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
mai.n dau.D dau.D ke KHud ko paka.D ke laataa huu.n
tumhaare ishq ne bachchaa banaa diyaa hai mujhe
Liaqat Jafri
Sher
har ek shaam sa.nvar jaa.egii mirii 'mohsin'
har ek baat tumhaarii hai shaa.irii kii tarah