SEARCH RESULTS
Showing search results for "daur"
Sher MATCHES FOR "daur"
Sher
jis ne is daur ke insaan kiye hai.n paidaa
vahii meraa bhii KHudaa ho mujhe manzuur nahii.n
Hafeez Jalandhari
Sher
sach to kah duu.n magar is daur ke insaano.n ko
baat jo dil se nikaltii hai burii lagtii hai
Saleem Ahmed
Sher
aasmaano.n se farishte jo utaare jaa.e.n
vo bhii is daur me.n sach bole.n to maare jaa.e.n
Ummeed Fazli
Sher
Ada Jafarey
Sher
is daur me.n insaan kaa chehra nahii.n miltaa
kab se mai.n naqaabo.n kii tahe.n khol rahaa huu.n
Moghisuddin Fareedi
Sher
Bashir Badr
Sher
mai.n tire dar kaa bhikaarii tuu mire dar kaa faqiir
aadmii is daur me.n KHuddaar ho saktaa nahii.n
Iqbal Sajid
Sher
har ek daur kaa maz.hab nayaa KHudaa laayaa
kare.n to ham bhii magar kis KHudaa kii baat kare.n
Sahir Ludhianvi
Sher
dekhaa kiye vo mast nigaaho.n se baar baar
jab tak sharaab aa.ii ka.ii daur ho ga.e
Shad Azimabadi
Sher
lahuu na ho to qalam tarjumaa.n nahii.n hotaa
hamaare daur me.n aa.nsuu zabaa.n nahii.n hotaa
Waseem Barelvi
Sher
puraane log dariyaa.o.n me.n nekii Daal aate the
hamaare daur kaa insaan nekii kar ke chiiKHegaa
Zubair Rizvi
Sher
yaaro ye daur zof-e-basaarat kaa daur hai
aa.ndhii uThe to us ko ghaTaa kah liyaa karo
Qateel Shifai
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
is daur-e-taraqqii ke andaaz niraale hai.n
zehno.n me.n a.ndhere hai.n sa.Dko.n pe ujaale hai.n
Divakar Rahi
Sher
hamaaraa daur a.ndhero.n kaa daur hai lekin
hamaare daur kii muTThii me.n aaftaab bhii hai
Kanval Ziai
Sher
kal kahte rahe hai.n vahii kal kahte rahe.nge
har daur me.n ham un pe Gazal kahte rahe.nge
Kaleem Aajiz
Sher
ye KHaamosh mizaajii tumhe jiine nahii.n degii
is daur me.n jiinaa hai to kohraam machaa do