SEARCH RESULTS
Showing search results for "daur-daura"
Sher MATCHES FOR "daur-daura"
Sher
numuud un kii bhii daur-e-subuu me.n thii kal raat
abhii jo daur-e-tah-e-aasmaa.n nahii.n guzre
Sirajuddin Zafar
Sher
hamaaraa daur a.ndhero.n kaa daur hai lekin
hamaare daur kii muTThii me.n aaftaab bhii hai
Kanval Ziai
Sher
is daur-e-naa-muraad se ye tajraba hu.aa
diivaar guftuguu ke liye behtariin hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
yahii hai daur-e-Gam-e-aashiqii to kyaa hogaa
isii tarah se kaTii zindagii to kyaa hogaa
Farigh Bukhari
Sher
is daur-e-taraqqii ke andaaz niraale hai.n
zehno.n me.n a.ndhere hai.n sa.Dko.n pe ujaale hai.n
Divakar Rahi
Sher
is daur-e-aaKHirii kii jahaalat to dekhiye
jis kii zabaa.n-daraaz hukuumat usii kii hai
Bashir Mehtaab
Sher
daur-e-jamhuurii me.n ba.ngladesh jaanaa thaa tujhe
aksariyyat chho.D kar zaalim idhar paidaa hu.aa
Mohammad Taha Khan
Sher
tiraa shabaab rahe ham rahe.n sharaab rahe
ye daur aish kaa taa daur-e-aaftaab rahe
Jaleel Manikpuri
Sher
ye daur bhii kyaa daur hai is daur me.n yaaro
sach bolne vaalo.n kaa hii anjaam buraa hai
Jamill Murassapuri
Sher
daur-e-hayaat aa.egaa qaatil qazaa ke ba.ad
hai ibtidaa hamaarii tirii intihaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
ajiib hii thaa mire daur-e-gumrahii kaa rafiiq
bichha.D gayaa to kabhii lauT kar nahii.n aayaa
Iftikhar Arif
Sher
is daur-e-aafiyat me.n ye kyaa ho gayaa hame.n
pattaa samajh ke le u.Dii vahshii havaa hame.n
Zaheer Kashmiri
Sher
daur-e-ishrat ne sa.nvaare hai.n Gazal ke gesuu
fikr ke pahluu magar Gam kii badaulat aa.e