SEARCH RESULTS
Showing search results for "daur-e-tarab"
Sher MATCHES FOR "daur-e-tarab"
Sher
numuud un kii bhii daur-e-subuu me.n thii kal raat
abhii jo daur-e-tah-e-aasmaa.n nahii.n guzre
Sirajuddin Zafar
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
yahii hai daur-e-Gam-e-aashiqii to kyaa hogaa
isii tarah se kaTii zindagii to kyaa hogaa
Farigh Bukhari
Sher
ab khul ke kaho baat to kuchh baat banegii
ye daur-e-ishaaraat-o-kinaayaat nahii.n hai
Hafeez Merathi
Sher
gul khilaa.e na kahii.n fitna-e-dauraa.n kuchh aur
aaj-kal daur-e-mai-o-jaam se jii Dartaa hai
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
is daur-e-naa-muraad se ye tajraba hu.aa
diivaar guftuguu ke liye behtariin hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
tirii bazm-e-tarab me.n aa gayaa huu.n
magar dil ko sukuu.n haasil nahii.n hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
viiraan zindagii ke ye lamhe ajiib hai.n
bazm-e-tarab me.n dhuum hai furqat dhamaal se
Baharunnisa Bahar
Sher
har sub.h nikalnaa kisii diivaar-e-tarab se
har shaam kisii manzil-e-Gamnaak pe honaa
Sarvat Husain
Sher
kisii kii bazm-e-tarab me.n hayaat baTtii thii
umiid-vaaro.n me.n kal maut bhii nazar aa.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
Dubo.e detaa hai KHud-aagahii kaa baar mujhe
mai.n Dhaltaa nashsha huu.n mauj-e-tarab ubhaar mujhe
Anwar Siddiqui
Sher
maza to jab hai udaasii kii shaam ho 'shaahii.n'
aur us ke biich se shaam-e-tarab nikal aa.e
Javed Shaheen
Sher
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
raahat-o-aish o tarab sab hai.n tumhaare dam se
tum mire ghar me.n na aa.o to na aa.e ko.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
jo phuul aayaa sabz qadam ho ke rah gayaa
kab fasl-e-gul hai fasl-e-tarab apne shahr me.n
Khatir Ghaznavi
Sher
ruuh hai mahv-e-tamannaa husn hai mast-e-tarab
ik niyaaz-o-naaz kaa barpaa hai mahshar saamne
Maslihuddin Ahmad Aseer Kakorvi
Sher
kise KHabar thii ki ye daur-e-KHud-Garaz ik din
junuu.n se qiimat-e-daar-o-rasan chhupaa.egaa