SEARCH RESULTS
Showing search results for "dayaar"
Sher MATCHES FOR "dayaar"
Sher
lagtaa nahii.n hai dil miraa uj.De dayaar me.n
kis kii banii hai aalam-e-naa-paa.edaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
vo habiib ho ki rahbar vo raqiib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
Anwar Moazzam
Sher
udaas shaam kii yaado.n bharii sulagtii havaa
hame.n phir aaj puraane dayaar le aa.ii
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ham ajnabii hai.n aaj bhii apne dayaar me.n
har shaKHs puuchhtaa hai yahii tum yahaa.n kahaa.n
Waheeda Naseem
Sher
ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai
hadd-e-nigaah tak jahaa.n Gubaar hii Gubaar hai
Shahryar
Sher
phir dayaar-e-hind ko aabaad karne ke liye
jhuum kar uTTho vatan aazaad karne ke liye
Altaf Mashhadi
Sher
mausam 'ajiib rahtaa hai dil ke dayaar kaa
aage hai.n luu ke jho.nke bhii ThanDii havaa ke ba.ad
Qaisar Shameem
Sher
dayaar-e-nuur me.n tiira-shabo.n kaa saathii ho
ko.ii to ho jo mirii vahshato.n kaa saathii ho
Iftikhar Arif
Sher
ajnabii buud-o-baash ke qurb-o-javaar me.n milaa
bichh.Daa to vo mujhe kisii aur dayaar me.n milaa
Javed Shaheen
Sher
Noshi Gilani
Sher
ham aise be-hunaro.n me.n hai jo saliiqa-e-ziist
tire dayaar me.n pal-bhar qayaam se aayaa
Jamal Ehsani
Sher
gulo.n kaa daur hai bulbul maze bahaar me.n luuT
KHizaa.n machaaegii aate hii is dayaar me.n luuT
Habeeb Moosavi
Sher
kaisii kashish hai ishq ke TuuTe mazaar me.n
mela lagaa hu.aa hai hamaare dayaar me.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
ai tarah-daar-e-ishva-taraaz-e-dayaar-e-naaz
ruKHsat hu.aa huu.n tere liye dil-galii se mai.n
Jaun Eliya
Sher
arse se is dayaar kii ko.ii KHabar nahii.n
mohlat mile to aaj kaa aKHbaar dekh le.n
Aashufta Changezi
Sher
Anand Narayan Mulla
Sher
hamaare dam se hai raushan dayaar-e-fikr-o-suKHan
hamaare baad ye galiyaa.n dhu.aa.n dhu.aa.n ho.ngii