SEARCH RESULTS
Showing search results for "dekhe"
Sher MATCHES FOR "dekhe"
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe
Gulzar
Sher
tuu nayaa hai to dikhaa sub.h na.ii shaam na.ii
varna in aa.nkho.n ne dekhe hai.n na.e saal ka.ii
Faiz Ludhianvi
Sher
ik fursat-e-gunaah milii vo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausle parvardigaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
chho.Dne mai.n nahii.n jaataa use darvaaze tak
lauT aataa huu.n ki ab kaun use jaataa dekhe
Shahzad Ahmad
Sher
jin se mil kar zindagii se ishq ho jaa.e vo log
aap ne shaayad na dekhe ho.n magar aise bhii hai.n
Suroor Barabankvi
Sher
is dil me.n tire husn kii vo jalvagarii hai
jo dekhe hai kahtaa hai ki shiishe me.n parii hai
Josh Malihabadi
Sher
naama-bar tuu hii bataa tuu ne to dekhe ho.nge
kaise hote hai.n vo KHat jin ke javaab aate hai.n
Qamar Badayuni
Sher
dekhe hai.n bahut ham ne ha.ngaame mohabbat ke
aaGaaz bhii rusvaa.ii anjaam bhii rusvaa.ii
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
Fani Badayuni
Sher
naaz hai gul ko nazaakat pe chaman me.n ai 'zauq'
us ne dekhe hii nahii.n naaz-o-nazaakat vaale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
ham ne dekhaa hai zamaane kaa badalnaa lekin
un ke badle hu.e tevar nahii.n dekhe jaate
Ali Ahmad Jalili
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ba.De siidhe-saadhe ba.De bhole-bhaale
ko.ii dekhe is vaqt chehraa tumhaaraa