SEARCH RESULTS
Showing search results for "dhaaro.n"
Sher MATCHES FOR "dhaaro.n"
Sher
diivaaro.n se mil kar ronaa achchhaa lagtaa hai
ham bhii paagal ho jaa.e.nge aisaa lagtaa hai
Qaisarul Jafri
Sher
do hii chiize.n is dhartii me.n dekhne vaalii hai.n
miTTii kii sundartaa dekho aur mujhe dekho
Sarvat Husain
Sher
din bhar to mai.n duniyaa ke dhando.n me.n khoyaa rahaa
jab diivaaro.n se dhuup Dhalii tum yaad aa.e
Nasir Kazmi
Sher
kuchh allahabad me.n saamaa.n nahii.n bahbuud ke
yaa.n dharaa kyaa hai ba-juz akbar ke aur amruud ke
Akbar Allahabadi
Sher
Afzal Khan
Sher
to.D kar aaj Galat-fahmii kii diivaaro.n ko
dosto apne ta'alluq ko sa.nvaaraa jaa.e
Santosh khirvadkar
Sher
mai.n munaqqash huu.n tirii ruuh kii diivaaro.n par
tuu miTaa saktaa nahii.n bhuulne vaale mujh ko
Mohsin Ehsan
Sher
utar ke naav se bhii kab safar tamaam hu.aa
zamii.n pe paa.nv dharaa to zamiin chalne lagii
Shakeb Jalali
Sher
ham apnii dhartii se apnii har samt KHud talaashe.n
hamaarii KHaatir ko.ii sitaara nahii.n chalegaa
Mohsin Naqvi
Sher
Zubair Rizvi
Sher
subuut-e-ishq kii ye bhii to ek suurat hai
ki jis se pyaar kare.n us pe tohmate.n bhii dhare.n
Qateel Shifai
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
silsila KHvaabo.n kaa sab yuu.nhii dharaa rah jaa.egaa
ek din bistar pe ko.ii jaagtaa rah jaa.egaa
Hayat Lakhnavi
Sher
abhii na phero nazar zindagii sa.nvaar to le.n
ki dil ke shiishe me.n ham aap ko utaar to le.n
Prem Dhawan
Sher
zamii.n pe paa.nv zaraa ehtiyaat se dharnaa
ukha.D ga.e to qadam phir kahaa.n sambhalte hai.n
Najeeb Ahmad
Sher
vo bhii dhartii pe utaarii hu.ii maKHluuq hii hai
jis kaa kaaTaa hu.aa insaan na paanii maa.nge