SEARCH RESULTS
Showing search results for "dhando.n"
Sher MATCHES FOR "dhando.n"
Sher
din bhar to mai.n duniyaa ke dhando.n me.n khoyaa rahaa
jab diivaaro.n se dhuup Dhalii tum yaad aa.e
Nasir Kazmi
Sher
tum mere liye ab ko.ii ilzaam na Dhuu.nDo
chaahaa thaa tumhe.n ik yahii ilzaam bahut hai
Sahir Ludhianvi
Sher
ham ko aapas me.n mohabbat nahii.n karne dete
ik yahii aib hai is shahr ke daanaa.o.n me.n
Qateel Shifai
Sher
duur ke chaa.nd ko Dhuu.nDo na kisii aa.nchal me.n
ye ujaalaa nahii.n aa.ngan me.n samaane vaalaa
Nida Fazli
Sher
dil kii baate.n duusro.n se mat kaho luT jaa.oge
aaj kal iz.haar ke dhandhe me.n hai ghaaTaa bahut
Shuja Khaavar
Sher
jiine vaalo.n se kaho ko.ii tamannaa Dhuu.nDe.n
ham to aasuuda-e-manzil hai.n hamaaraa kyaa hai
Mahmood Ayaz
Sher
nazdiik kii ainak se use kaise mai.n Dhuu.nDuu.n
jo duur kii ainak hai kahii.n duur pa.Dii hai
Anwar Masood
Sher
Zafar Iqbal
Sher
Shad Azimabadi
Sher
mohtasib tasbiih ke daano.n pe ye gintaa rahaa
kin ne pii kin ne na pii kin kin ke aage jaam thaa
Saail Dehlvi
Sher
ab ko.ii Dhuu.nD-Dhaa.nD ke laa.o nayaa vajuud
insaan to bulandi-e-insaa.n se ghaT gayaa
Kalidas Gupta Raza
Sher
mire andar Dha.nDoraa piiTtaa hai ko.ii rah rah ke
jo apnii KHairiyat chaahe vo bastii se nikal jaa.e
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
miyaa.n ye chaadar-e-shohrat tum apne paas rakho
ki is se paa.nv jo Dhaa.npe.n to sar nikaltaa hai
Mohammad Mukhtar Ali
Sher
paap karo jii khol kar dhabbo.n kii kyaa soch
jab jii chaahaa dho liye ga.ngaa-jal ke saath
Anjum Rumani
Sher
tirii taariif ho ai sahib-e-ausaaf kyaa mumkin
zabaano.n se dahaano.n se takallum se bayaano.n se
Kalb-e-husain Nadir
Sher
daanaa.o.n ne kii daanaa.ii muu.nd lii.n aa.nkhe.n
chauraahe par qatl hu.aa paagal ne dekhaa