SEARCH RESULTS
Showing search results for "dhuno.n"
Sher MATCHES FOR "dhuno.n"
Sher
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
tum mere liye ab ko.ii ilzaam na Dhuu.nDo
chaahaa thaa tumhe.n ik yahii ilzaam bahut hai
Sahir Ludhianvi
Sher
vo kaun thaa jo din ke ujaale me.n kho gayaa
ye chaa.nd kis ko Dhuu.nDne niklaa hai shaam se
Adil Mansuri
Sher
bahut dino.n me.n mohabbat ko ye hu.aa ma.aluum
jo tere hijr me.n guzrii vo raat raat hu.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
Waseem Barelvi
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
bahut dino.n se mire saath thii magar kal shaam
mujhe pataa chalaa vo kitnii KHuubsuurat hai
Bashir Badr
Sher
yaa to jo naa-fahm hai.n vo bolte hai.n in dino.n
yaa jinhe.n KHaamosh rahne kii sazaa ma.aluum hai
Shuja Khaavar
Sher
behtar dino.n kii aas lagaate hu.e 'habiib'
ham behtariin din bhii ga.nvaate chale ga.e
Habeeb Amrohvi
Sher
is vaqt vahaa.n kaun dhu.aa.n dekhne jaa.e
aKHbaar me.n pa.Dh le.nge kahaa.n aag lagii thii