SEARCH RESULTS
Showing search results for "dhuve.n"
Sher MATCHES FOR "dhuve.n"
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
mai.n zindagii kaa saath nibhaataa chalaa gayaa
har fikr ko dhu.e.n me.n u.Daataa chalaa gayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
ek aurat se vafaa karne kaa ye tohfa milaa
jaane kitnii aurato.n kii bad-du.aa.e.n saath hai.n
Bashir Badr
Sher
du.aa.e.n yaad karaa dii ga.ii thii.n bachpan me.n
so zaKHm khaate rahe aur du.aa diye ga.e ham
Iftikhar Arif
Sher
is vaqt vahaa.n kaun dhu.aa.n dekhne jaa.e
aKHbaar me.n pa.Dh le.nge kahaa.n aag lagii thii
Anwar Masood
Sher
kyuu.n maa.ng rahe ho kisii baarish kii du.aa.e.n
tum apne shikasta dar-o-diivaar to dekho
Jazib Quraishi
Sher
jo zahr pii chukaa huu.n tumhii.n ne mujhe diyaa
ab tum to zindagii kii du.aa.e.n mujhe na do
Ahmad Faraz
Sher
aa.nkho.n ke pochhne se lagaa aag kaa pata
yuu.n chehra pher lene se chhuptaa nahii.n dhu.aa.n
Gulzar
Sher
jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaa.n 'amjad'
aa.nkh jab KHushk hu.ii aur bhii chehraa chamkaa
Amjad Islam Amjad
Sher
idhar falak ko hai zid bijliyaa.n giraane kii
udhar hame.n bhii hai dhun aashiyaa.n banaane kii
Unknown
Sher
cigarete.n chaa.e dhu.aa.n raat ga.e tak bahse.n
aur ko.ii phuul saa aa.nchal kahii.n nam hotaa hai
Wali Aasi
Sher
hammaam ke aa.iine me.n shab Duub rahii thii
cigarette se na.e din kaa dhu.aa.n phail rahaa thaa
Adil Mansuri
Sher
kamre me.n phailtaa rahaa cigarette kaa dhu.aa.n
mai.n band khi.Dkiyo.n kii taraf dekhtaa rahaa
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
charaaG ban ke jalii thii mai.n jis kii mahfil me.n
use rulaa to gayaa kam se kam dhu.aa.n meraa