SEARCH RESULTS
Showing search results for "di mana"
Sher MATCHES FOR "di mana"
Sher
har baat jaante hu.e dil maantaa na thaa
ham jaane e'tibaar ke kis marhale me.n the
Amjad Islam Amjad
Sher
mujh ko mazaa hai chhe.D kaa dil maantaa nahii.n
gaalii sune baGair sitam-gar kahe baGair
Dagh Dehlvi
Sher
mo'jizaat-e-dast-e-kun dekhne the so ham ne
pattharo.n pe de maaraa KHud ko aa.iina kar ke
Shehla Kaleem
Sher
tumhaaraa hijr manaa luu.n agar ijaazat ho
mai.n dil kisii se lagaa luu.n agar ijaazat ho
Jaun Eliya
Sher
jab zindagii ne maut ko aavaaz dii tabhii
maano kisii ne jiine kaa elaan kar diyaa
Raghvendra Dwivedi
Sher
haq ne tujh ko ik zabaa.n dii aur diye hai.n kaan do
is ke ye ma.anii kahe ik aur sune insaan do
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
mai.n ne maanaa ki dil nahii.n naakaam
phir mire kaam kyuu.n nahii.n aataa
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
raaz-e-dil hai.n puuchhte aur bolne dete nahii.n
baat mu.nh par aa rahii hai lab hilaanaa hai manaa
Unknown
Sher
aa.nkho.n se dil ke diid ko maan.e nahii.n nafas
aashiq ko ain-hijr me.n bhii vasl-e-yaar hai