SEARCH RESULTS
Showing search results for "diid"
Sher MATCHES FOR "diid"
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kahte hai.n eid hai aaj apnii bhii eid hotii
ham ko agar mayassar jaanaa.n kii diid hotii
Ghulam Bhik Nairang
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
janaab ke ruKH-e-raushan kii diid ho jaatii
to ham siyaah-nasiibo.n kii iid ho jaatii
Anwar Shuoor
Sher
Zubair Rizvi
Sher
aaj yaaro.n ko mubaarak ho ki sub.h-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilrubaa hai diid hai
Abroo Shah Mubarak
Sher
jo aur kuchh ho tirii diid ke sivaa manzuur
to mujh pe KHvaahish-e-jannat haraam ho jaa.e
Hasrat Mohani
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ab us kii diid mohabbat nahii.n zaruurat hai
ki us se mil ke bichha.Dne kii aarzuu hai bahut
Zafar Iqbal
Sher
jahaa.n na apne aziizo.n kii diid hotii hai
zamiin-e-hijr pe bhii ko.ii iid hotii hai
Ain Tabish
Sher
itnii to diid-e-ishq kii taasiir dekhiye
jis samt dekhiye tirii tasviir dekhiye