SEARCH RESULTS
Showing search results for "dil-e-pur-malaal"
Sher MATCHES FOR "dil-e-pur-malaal"
Sher
dil-e-pur-aabla laayaa huu.n dikhaane tum ko
band ai shiisha-garo! apnii dukaa.n kiijiyegaa
Shah Naseer
Sher
Akhtar Ansari
Sher
ho ga.e raam jo tum Gair se a jaan-e-jahaa.n
jal rahii hai dil-e-pur-nuur kii lanka dekho
Kalb-e-husain Nadir
Sher
'saudaa' jahaa.n me.n aa ke ko.ii kuchh na le gayaa
jaataa huu.n ek mai.n dil-e-pur-aarzuu liye
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Noon Meem Rashid
Sher
dil kii shaamat aa.ii jaa kar pha.ns gayaa
yaar ke gesu-e-pur-KHam kyaa kare.n
Naseem Bharat Puri
Sher
ahvaal dekh kar mirii chashm-e-pur-aab kaa
dariyaa se aaj TuuT gayaa dil habaab kaa
Joshish Azimabadi
Sher
Bashir Badr
Sher
Imdad Imam Asar
Sher
rahe zaraa dil-e-KHuu.n-gashta par nazar 'anjum'
usii sadaf se ajab kyaa guhar nikal aa.e
Anjum Rumani
Sher
KHud rahm kiijiye dil-e-ummiid-vaar par
aaphii nikaaliye ko.ii suurat nibaah kii
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
tujh ko kho kar mujh par vo bhii din aa.e
chhup na sakaa dukh piichhe ka.ii naqaabo.n ke
Farhat Shahzad
Sher
yaar par ilzaam kaisaa ai dil-e-KHaana-KHaraab
jo kiyaa tujh se tirii qismat ne us ne kyaa kiyaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
dam labo.n par thaa dil-e-zaar ke ghabraane se
aa ga.ii jaan me.n jaan aap ke aa jaane se
Akbar Allahabadi
Sher
phir us kii yaad ne dastak dil-e-hazii.n par dii
phir aa.nsu.o.n me.n nihaa.n us ke KHad-o-KHaal hu.e
Tahseen Firaqi
Sher
zulm kab tak kiijiyegaa is dil-e-naashaad par
ab to is bande pe Tuk kiije karam banda-navaaz
Meer Hasan
Sher
chehre pe saare shahr ke gard-e-malaal hai
jo dil kaa haal hai vahii dillii kaa haal hai
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
na KHush-gumaan ho is par tuu ai dil-e-saada
sabhii ko dekh ke vo shaKHs muskuraataa hai
Shahryar
Sher
aa.ii hai tire ishq kii baazii dil-o-jaa.n par
is vaqt nazar kab hai mujhe suud-o-ziyaa.n par