SEARCH RESULTS
Showing search results for "do-ik"
Sher MATCHES FOR "do-ik"
Sher
jaane do ek roz yahii.n phir ke aa.egaa
jo kuchh hai us pe raKHt-e-safar jaantaa huu.n mai.n
Ahmad Sageer
Sher
rahmat se 'riyaaz' us kii the saath farishte do
ik huur jo ba.Dh jaatii to aur mazaa hotaa
Riyaz Khairabadi
Sher
shab-e-visaal hai gul kar do in charaaGo.n ko
KHushii kii bazm me.n kyaa kaam jalne vaalo.n kaa
Dagh Dehlvi
Sher
pilaa de ok se saaqii jo ham se nafrat hai
piyaala gar nahii.n detaa na de sharaab to de
Mirza Ghalib
Sher
haq ne tujh ko ik zabaa.n dii aur diye hai.n kaan do
is ke ye ma.anii kahe ik aur sune insaan do
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
yaarab hujuum-e-dard ko de aur vus.ate.n
daaman to kyaa abhii mirii aa.nkhe.n bhii nam nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
shelf pe ulTaa kar ke rakh do aur bisraa do
gul-daano.n me.n phuul sajaa.o KHvaab kaa kyaa hai
Daniyal Tareer
Sher
ishq ko naGma-e-ummiid sunaa de aa kar
dil kii so.ii hu.ii qismat ko jagaa de aa kar
Akhtar Shirani
Sher
in bijliyo.n ko rahne de ai shoKHi-e-nigaah
shaayad KHabar nahii.n hai tujhe jal gayaa huu.n mai.n
Unknown
Sher
zaraa sii der Thaharne de ai Gam-e-duniyaa
bulaa rahaa hai ko.ii baam se utar ke mujhe
Nasir Kazmi
Sher
de ek shab ko apnii mujhe zard shaal tuu
hai mujh ko suu.nghne ke havas so nikaal tuu
Insha Allah Khan Insha
Sher
javaab do ki na do ai buto nahii.n parvaa
kahuu.n jo kuchh vo baraa.e-KHudaa suno to sahii
Nawab Begam Hijab
Sher
haa.n dikhaa de ai tasavvur phir vo sub.h o shaam tuu
dau.D piichhe kii taraf ai gardish-e-ayyaam tuu
Allama Iqbal
Sher
mire banaa.e hu.e but me.n ruuh phuu.nk de ab
na ek umr kii mehnat mirii akaarat kar