SEARCH RESULTS
Showing search results for "doshii.n"
Sher MATCHES FOR "doshii.n"
Sher
mohabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahii.n miltaa to haath bhii na milaa
Bashir Badr
Sher
agar tumhaarii anaa hii kaa hai savaal to phir
chalo mai.n haath ba.Dhaataa huu.n dostii ke liye
Ahmad Faraz
Sher
ye kahaa.n kii dostii hai ki bane hai.n dost naaseh
ko.ii chaarasaaz hotaa ko.ii Gam-gusaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
sharte.n lagaa.ii jaatii nahii.n dostii ke saath
kiije mujhe qubuul mirii har kamii ke saath
Waseem Barelvi
Sher
tujhe kaun jaantaa thaa mirii dostii se pahle
tiraa husn kuchh nahii.n thaa mirii shaa.irii se pahle
Kaif Bhopali
Sher
dosto.n ko bhii mile dard kii daulat yaa rab
meraa apnaa hii bhalaa ho mujhe manzuur nahii.n
Hafeez Jalandhari
Sher
mujhe dost kahne vaale zaraa dostii nibhaa de
ye mutaalba hai haq kaa ko.ii iltijaa nahii.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
havaa ke dosh pe rakkhe hu.e charaaG hai.n ham
jo bujh ga.e to havaa se shikaayate.n kaisii
Obaidullah Aleem
Sher
dostii kis se na thii kis se mujhe pyaar na thaa
jab bure vaqt pe dekhaa to ko.ii yaar na thaa
Meer Hasan
Sher
dekhaa jo khaa ke tiir kamii.n-gaah kii taraf
apne hii dosto.n se mulaaqaat ho ga.ii