SEARCH RESULTS
Showing search results for "duaa-e-zindagii"
Sher MATCHES FOR "duaa-e-zindagii"
Sher
ye tamaashaa diidanii Thahraa magar dekhegaa kaun
ho ga.e ham raakh to dast-e-du.aa raushan hu.aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
du’aa-e-dast-e-faziilat se sar kii raunaq hai
hamaare ghar ke buzurgo.n se ghar kii raunaq hai
Ashhad Karim Ulfat
Sher
ko.ii ilaaj-e-Gam-e-zindagii bataa vaa.iz
sune hu.e jo fasaane hai.n phir sunaa na mujhe
Akhtar Ziai
Sher
bedard mujh se sharh-e-Gam-e-zindagii na puuchh
kaafii hai is qadar ki jiye jaa rahaa huu.n mai.n
Hadi Machlishahri
Sher
'faanii' du.aa-e-marg kii takraar kyaa zaruur
Gaafil nahii.n ki un se taqaazaa kare ko.ii
Fani Badayuni
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
KHatm karnaa chaahtaa huu.n pech-o-taab-e-zindagii
yaad-e-gesuu zor-e-baazuu ban mire shaane me.n aa
Natiq Gulavthi
Sher
fikr jab se ho ga.ii hai jeb bharne kii unhe.n
ab du.aa-e-shaiKH kii taasiir aadhii rah ga.ii
Wahid Ansari Burhanpur
Sher
ai dost is zamaan-o-makaa.n ke azaab me.n
dushman hai jo kisii ko du.aa-e-hayaat de
Sirajuddin Zafar
Sher
kiisa-e-jaa.n me.n tujhe dene ko ab kuchh bhii nahii.n
so du'aa-e-KHair letaa jaa Thahar ai ajnabii