SEARCH RESULTS
Showing search results for "dubaatii"
Sher MATCHES FOR "dubaatii"
Sher
mai.n vo sahraa jise paanii kii havas le Duubii
tuu vo baadal jo kabhii TuuT ke barsaa hii nahii.n
Sultan Akhtar
Sher
bas ye hu.aa ki us ne takalluf se baat kii
aur ham ne rote rote dupaTTe bhigo liye
Parveen Shakir
Sher
ek vo hai.n ki jinhe.n apnii KHushii le Duubii
ek ham hai.n ki jinhe.n Gam ne ubharne na diyaa
Azad Gulati
Sher
ik Duubtii dha.Dkan kii sadaa log na sun le.n
kuchh der ko bajne do ye shahnaa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
samundaro.n ko bhii hairat hu.ii ki Duubte vaqt
kisii ko ham ne madad ke liye pukaaraa nahii.n
Iftikhar Arif
Sher
ye sair hai ki dupaTTa u.Daa rahii hai havaa
chhupaate hai.n jo vo siina kamar nahii.n chhuptii
Dagh Dehlvi
Sher
Qateel Shifai
Sher
aashiq ko dekhte hai.n dupaTTe ko taan kar
dete hai.n ham ko sharbat-e-diidaar chhaan kar
Meer Anees
Sher
bujh ga.ii sham.a kii lau tere dupaTTe se to kyaa
apnii muskaan se mahfil ko munavvar kar de
Sada Ambalvi
Sher
is Duubte suuraj se to ummiid hii kyaa thii
ha.ns ha.ns ke sitaaro.n ne bhii dil to.D diyaa hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
Neelma Naheed Durrani
Sher
us naa-KHudaa ke zulm o sitam haa.e kyaa karuu.n
kashtii mirii Dubo.ii hai saahil ke aas-paas
Hasrat Mohani
Sher
Zeb Ghauri
Sher
chale bhii aa.o ki ye Duubtaa hu.aa suuraj
charaaG jalne se pahle mujhe bujhaa degaa
Bashir Farooqi
Sher
mai.n is umiid pe Duubaa ki tuu bachaa legaa
ab is ke baa'd miraa imtihaan kyaa legaa