SEARCH RESULTS
Showing search results for "dukaan"
Sher MATCHES FOR "dukaan"
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Munawwar Rana
Sher
malbuus KHush-numaa hai.n magar jism khokhle
chhilke saje ho.n jaise phalo.n kii dukaan par
Shakeb Jalali
Sher
nigaah pa.Dne na paa.e yatiim bachcho.n kii
zaraa chhupaa ke khilaune dukaan me.n rakhnaa
Mahboob Zafar
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
pahle pahle havas ik-aadh dukaa.n kholtii hai
phir to baazaar ke baazaar se lag jaate hai.n
Ahmad Faraz
Sher
Shahid Zaki
Sher
Gam bik rahe the mele me.n KHushiyo.n ke naam par
maayuus ho ke lauTe hai.n har ik dukaa.n se ham
Rajesh Reddy
Sher
kyaa mausamo.n ke TuuTte rishto.n kaa KHauf hai
shiishe sajaa liye hai.n sabhii ne dukaan par
Syed Arif
Sher
hamaarii jeb me.n KHvaabo.n kii rezgaarii hai
so len-den hamaaraa dukaa.n se baahar hai
Hasan Abbas Raza
Sher
Riyaz Khairabadi
Sher
ham ri.nd-e-pareshaa.n hai.n maah-e-ramazaa.n hai
chamkii hu.ii in rozo.n me.n vaa.iz kii dukaa.n hai
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Taashshuq Lakhnavi
Sher
mai.n chaah kar bhii use kuchh na de sakaa 'haaris'
vo bhaav puuchh ke merii dukaa.n se lauT gayaa
Haris Bilal
Sher
KHvaabo.n kii tijaarat me.n yahii ek kamii hai
chaltii hai dukaa.n KHuub kamaa.ii nahii.n detii
Midhat-ul-Akhtar
Sher
har dukaa.n apnii jagah hairat-e-nazzaara hai
fikr-e-insaa.n ke sajaa.e hu.e baazaar to dekh