SEARCH RESULTS
Showing search results for "dumo.n"
Sher MATCHES FOR "dumo.n"
Sher
mai.n zindagii kii du.aa maa.ngne lagaa huu.n bahut
jo ho sake to du.aa.o.n ko be-asar kar de
Iftikhar Arif
Sher
ab du.aa.o.n ke liye uThte nahii.n hai.n haath bhii
be-yaqiinii kaa to aalam thaa magar aisaa na thaa
Mohsin Ehsan
Sher
yaa rab mirii du.aa.o.n me.n itnaa asar rahe
phuulo.n bharaa sadaa mirii bahnaa kaa ghar rahe
Unknown
Sher
Anjum Khaleeq
Sher
ek naa-tavaa.n rishta us se ab bhii baaqii hai
jis tarah du.aa.o.n kaa aur asar kaa rishta hai
Abbas Rizvi
Sher
kisii ne KHvaab me.n aakar mujhe ye hukm diyaa
tum apne ashk bhii bhejaa karo du.aa.o.n ke saath
Afzal Khan
Sher
kis qadar terii du.aa.o.n me.n asar thaa ai dost
ho gayaa huu.n mai.n sehat-yaab davaa se pahle
Danish Farahi
Sher
ye tez dhuup hame.n kaise saa.nvlaa kartii
hamaare sar pe du.aa.o.n kaa shaamiyaana thaa
Moin Shadab
Sher
vo jaate hai.n aatii hai qayaamat kii sahar aaj
rotaa hai du.aa.o.n se gale mil ke asar aaj
Dagh Dehlvi
Sher
teraa naam likhtii hai.n u.ngliyaa.n KHalaa.o.n me.n
ye bhii ik du.aa hogii vasl kii du.aa.o.n me.n
Ishrat Afreen
Sher
baazaar ke daamo.n kii shikaayat hai har ik ko
phir bhii sar-e-baazaar ba.Dii bhii.D lagii hai
Mohammad Alvi
Sher
haath uThaataa hai du.aa.o.n ko falak bhii us dam
jab parinda ko.ii parvaaz ko par taultaa hai
Rajesh Reddy
Sher
bik jaa.uu.n saste daamo.n zaruurat ke vaaste
utraa hu.aa Gariib kaa zevar nahii.n huu.n mai.n
Shahanshah Sabri
Sher
siikhaa na du.aa.o.n me.n qanaa.at kaa saliiqa
vo maa.ng rahaa huu.n jo muqaddar me.n nahii.n hai
Asim Wasti
Sher
sunaa ke ko.ii kahaanii hame.n sulaatii thii
du.aa.o.n jaisii ba.De paan-daan kii KHushbuu
Bashir Badr
Sher
Nadeem Gullani
Sher
mai.n bhalaa haath du.aa.o.n ko uThaataa kaise
us ne chho.Dii hii nahii.n ko.ii zaruurat baaqii
Junaid Akhtar
Sher
ajiib baat hai mai.n jab bhii kuchh udaas hu.aa
diyaa sahaaraa hariifo.n kii bad-du.aa.o.n ne