SEARCH RESULTS
Showing search results for "faasil"
Sher MATCHES FOR "faasil"
Sher
fasiil-e-jism pe taaza lahuu ke chhii.nTe hai.n
huduud-e-vaqt se aage nikal gayaa hai ko.ii
Shakeb Jalali
Sher
Aziz Nabeel
Sher
baGair samt ke chalnaa bhii kaam aa hii gayaa
fasiil-e-shahr ke baahar bhii ek duniyaa thii
Gulnar Aafreen
Sher
balaa kaa habs thaa par nii.nd TuuTtii hii na thii
na ko.ii dar na dariicha fasiil-e-KHvaab me.n thaa
Vikas Sharma Raaz
Sher
Zahid Masood
Sher
ulajh rahaa thaa abhii KHvaab kii fasiil se mai.n
ki naa-rasaa.ii ne ik shab mujhe rasaa.ii dii
Bilal Ahmad
Sher
vaqt hii vo KHat-e-faasil hai ki ai ham-nafaso
duur hai mauj-e-balaa aur kinaare hu.e log
Aziz Hamid Madni
Sher
buriida-sar ko sajaa de fasiil-e-neza par
dariida jism ko phir arsa-e-qitaal me.n rakh
Shahid Kamal
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
Jigar Moradabadi
Sher
saamne hai jo use log buraa kahte hai.n
jis ko dekhaa hii nahii.n us ko KHudaa kahte hai.n
Sudarshan Faakir
Sher
sunte hai.n ishq naam ke guzre hai.n ik buzurg
ham log bhii faqiir usii silsile ke hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
kahaanii KHatm hu.ii aur aisii KHatm hu.ii
ki log rone lage taaliyaa.n bajaate hu.e
Rehman Faris
Sher
Siraj Faisal Khan
Sher
puraane yaar bhii aapas me.n ab nahii.n milte
na jaane kaun kahaa.n dil lagaa ke baiTh gayaa
Fazil Jamili
Sher
mujh me.n saat samundar shor machaate hai.n
ek KHayaal ne dahshat phailaa rakkhii hai
Saqi Faruqi
Sher
ik buu.nd zahr ke liye phailaa rahe ho haath
dekho kabhii KHud apne badan ko nicho.D ke
Shahryar
Sher
bulbul ko baaGbaa.n se na sayyaad se gila
qismat me.n qaid likkhii thii fasl-e-bahaar me.n