SEARCH RESULTS
Showing search results for "faqiiraana"
Sher MATCHES FOR "faqiiraana"
Sher
jis din se apnaa tarz-e-faqiiraana chhuT gayaa
shaahii to mil ga.ii dil-e-shaahaana chhuT gayaa
Mustafa Zaidi
Sher
sab pe khulne kii hame.n hii aarzuu shaayad na thii
ek do ho.nge ki ham jin par faqiiraana khule
Ahmad Fareed
Sher
Allama Iqbal
Sher
jis ahd me.n luT jaa.e faqiiro.n kii kamaa.ii
us ahd ke sultaan se kuchh bhuul hu.ii hai
Saghar Siddiqui
Sher
Bashir Badr
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
safar ho shaah kaa yaa qaafila faqiiro.n kaa
shajar mizaaj samajhte hai.n raahgiiro.n kaa
Atul Ajnabi
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
dostii kaa da.avaa kyaa aashiqii se kyaa matlab
mai.n tire faqiiro.n me.n mai.n tire Gulaamo.n me.n
Shoaib Bin Aziz
Sher
Aagha Akbarabadi
Sher
tere KHush-posh faqiiro.n se vo milte to sahii
jo ye kahte hai.n vafaa pairhan-e-chaak me.n hai
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
nigaah chaahiye bas ahl-e-dil faqiiro.n kii
buraa bhii dekhuu.n to mujh ko bhalaa nazar aa.e
Anis Dehlavi
Sher
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
ye inqilaab-e-zamaana nahii.n to phir kyaa hai
amiir-e-shahr jo kal thaa vo hai faqiiro.n me.n
Athar Nadir
Sher
ghar-baar chho.D kar vo faqiiro.n se jaa mile
chaahat ne baadshaaho.n ko mahkuum kar diyaa
Anjum Barabankvi
Sher
shaiKH mujh ko na Daraa apnii musalmaanii thaam
ham faqiiro.n kaa kisii rang se iimaan na jaa.e