SEARCH RESULTS
Showing search results for "faraamoshii"
Sher MATCHES FOR "faraamoshii"
Sher
hichkiyaa.n aatii hai.n par lete nahii.n vo meraa naam
dekhnaa un kii faraamoshii ko merii yaad ko
Sakhi Lakhnvi
Sher
ko.ii masruufiyat hogii vagarna maslahat hogii
na is paimaa.n-faraamoshii se us ko bevafaa kahnaa
Sabiha Saba
Sher
go faraamoshii kii takmiil hu.aa chaahtii hai
phir bhii kah do ki hame.n yaad vo aayaa na kare
Abrar Ahmad
Sher
Jamal Abbas Fahmi
Sher
bhuultii hai.n kab nigaahe.n chashm-e-jaaduu-KHez kii
ham ko saamaan-e-faraamoshii sab apnaa yaad hai
Naseem Dehlvi
Sher
ik KHvaab hii to thaa jo faraamosh ho gayaa
ik yaad hii to thii jo bhulaa dii ga.ii to kyaa
Iftikhar Arif
Sher
barso.n hu.e na tum ne kiyaa bhuul kar bhii yaad
va.ade kii tarah ham bhii faraamosh ho ga.e
Jaleel Manikpuri
Sher
vaabasta merii yaad se kuchh talKHiyaa.n bhii thii.n
achchhaa kiyaa ki mujh ko faraamosh kar diyaa
Meem Hasan Lateefi
Sher
ye alag baat hai saaqii ki mujhe hosh nahii.n
hosh itnaa hai ki mai.n tujh se faraamosh nahii.n
Abdul Hamid Adam
Sher
rakh diyaa vaqt ne aa.iina banaa kar mujh ko
ruu-ba-ruu hote hu.e bhii mai.n faraamosh rahaa
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
Jameel Malik
Sher
mai pilaa aisii ki saaqii na rahe hosh mujhe
ek saaGar se do aalam ho.n faraamosh mujhe
Rind Lakhnavi
Sher
un kii jafaa.o.n par bhii vafaa kaa hu.aa gumaa.n
apnii vafaa.o.n ko bhii faraamosh kar diyaa
Hameed Jalandhari
Sher
kis qadar dil se faraamosh kiyaa aashiq ko
na kabhii aap ko bhuule se bhii mai.n yaad aayaa
Amanat Lakhnavi
Sher
sote me.n vo jo mujh se ham-aaGosh ho ga.e
jitne gile the KHvaab-e-faraamosh ho ga.e
Jaleel Manikpuri
Sher
KHud-faroshii ko jo tuu nikle ba-shakl-e-yuusuf
ai sanam terii KHariidaar KHudaa.ii ho jaa.e
Mirza Raza Barq
Sher
lazzat kaa zahr vaqt-e-sahr chho.D kar ko.ii
shab ke tamaam rishte faraamosh kar gayaa
Rahi Fidai
Sher
ye jo mai.n tujh ko ham-aaGosh kiye rahtaa huu.n
jaane kis kis ko faraamosh kiye rahtaa huu.n