SEARCH RESULTS
Showing search results for "farefta"
Sher MATCHES FOR "farefta"
Sher
badlaa tire sitam kaa ko.ii tujh se kyaa kare
apnaa hii tuu farefta hove KHudaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Shuja Khaavar
Sher
ra.anaa.ii-e-bahaar pe the sab farefta
afsos ko.ii mahram-e-raaz-e-KHizaa.n na thaa
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
KHudaa bachaa.e tirii mast mast aa.nkho.n se
farishta ho to bahak jaa.e aadmii kyaa hai
Khumar Barabankavi
Sher
Unknown
Sher
bach jaa.e javaanii me.n jo duniyaa kii havaa se
hotaa hai farishta ko.ii insaa.n nahii.n hotaa
Riyaz Khairabadi
Sher
mai.n aadmii huu.n ko.ii farishta nahii.n huzuur
mai.n aaj apnii zaat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
farishta hai to taqaddus tujhe mubaarak ho
ham aadmii hai.n to aib-o-hunar bhii rakhte hai.n
Dil Ayubi
Sher
ye shahr-e-tilismaat hai kuchh kah nahii.n sakte
pahluu me.n kha.Daa shaKHs farishta ki balaa hai
Jaleel 'Aali'
Sher
hai.n aaj kyuu.n zaliil ki kal tak na thii pasand
gustaaKHi-e-farishta hamaarii janaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
Munawwar Rana
Sher
marg-e-aashiq pe farishta maut kaa badnaam thaa
vo ha.nsii roke hu.e baiThaa thaa jis kaa kaam thaa
Manzar Lakhnavi
Sher
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
chalaa duKHtar-e-raz ko le kar jo saaqii
farishta hu.e saath ghar dekhne ko