SEARCH RESULTS
Showing search results for "farishto"
Sher MATCHES FOR "farishto"
Sher
Ameer Minai
Sher
isii liye to yahaa.n ab bhii ajnabii huu.n mai.n
tamaam log farishte hai.n aadmii huu.n mai.n
Bashir Badr
Sher
KHudaa bachaa.e tirii mast mast aa.nkho.n se
farishta ho to bahak jaa.e aadmii kyaa hai
Khumar Barabankavi
Sher
Anwar Shuoor
Sher
kal jinhe.n chhuu nahii.n saktii thii farishto.n kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hai.n
Saghar Siddiqui
Sher
farishte se ba.Dh kar hai insaan ban.naa
magar is me.n lagtii hai mehnat ziyaada
Altaf Hussain Hali
Sher
Unknown
Sher
tar-daamanii pe shaiKH hamaarii na jaa.iyo
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n
Khwaja Meer Dard
Sher
Munawwar Rana
Sher
Ahmad Faraz
Sher
tumhaare saath ye mausam farishto.n jaisaa hai
tumhaare baa'd ye mausam bahut sataa.egaa
Bashir Badr
Sher
farishte hashr me.n puuchhe.nge paak-baazo.n se
gunaah kyuu.n na kiye kyaa KHudaa Gafuur na thaa
Unknown
Sher
bach jaa.e javaanii me.n jo duniyaa kii havaa se
hotaa hai farishta ko.ii insaa.n nahii.n hotaa
Riyaz Khairabadi
Sher
aasmaano.n se farishte jo utaare jaa.e.n
vo bhii is daur me.n sach bole.n to maare jaa.e.n
Ummeed Fazli
Sher
mai.n aadmii huu.n ko.ii farishta nahii.n huzuur
mai.n aaj apnii zaat se ghabraa ke pii gayaa