SEARCH RESULTS
Showing search results for "farmaanaa'"
Sher MATCHES FOR "farmaanaa'"
Sher
Hasan Barelvi
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
Jigar Moradabadi
Sher
ha.ns ke farmaate hai.n vo dekh ke haalat merii
kyuu.n tum aasaan samajhte the mohabbat merii
Ameer Minai
Sher
ye u.Dii u.Dii sii ra.ngat ye khule khule se gesuu
tirii sub.h kah rahii hai tirii raat kaa fasaana
Ehsan Danish
Sher
sun to sahii jahaa.n me.n hai teraa fasaana kyaa
kahtii hai tujh ko KHalq-e-KHudaa Gaa.ebaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ye mohabbat kaa fasaana bhii badal jaa.egaa
vaqt ke saath zamaana bhii badal jaa.egaa
Azhar Lakhnawi
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
Nushur Wahidi
Sher
paimaana kahe hai ko.ii mai-KHaana kahe hai
duniyaa tirii aa.nkho.n ko bhii kyaa kyaa na kahe hai
Unknown
Sher
yahii zindagii musiibat yahii zindagii musarrat
yahii zindagii haqiiqat yahii zindagii fasaana
Moin Ahsan Jazbi
Sher
jaan jaane ko hai aur raqs me.n parvaana hai
kitnaa ra.ngiin mohabbat tiraa afsaana hai
Saghar Khayyami
Sher
hotii kahaa.n hai dil se judaa dil kii aarzuu
jaataa kahaa.n hai sham.a ko parvaana chho.D kar
Jaleel Manikpuri
Sher
ham ishq ke maaro.n kaa itnaa hii fasaanaa hai
rone ko nahii.n ko.ii ha.nsne ko zamaanaa hai