SEARCH RESULTS
Showing search results for "fasaa.n"
Sher MATCHES FOR "fasaa.n"
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n
Kaifi Azmi
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
Jigar Moradabadi
Sher
achchhaa hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql
lekin kabhii kabhii ise tanhaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Sher
ye u.Dii u.Dii sii ra.ngat ye khule khule se gesuu
tirii sub.h kah rahii hai tirii raat kaa fasaana
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
sun to sahii jahaa.n me.n hai teraa fasaana kyaa
kahtii hai tujh ko KHalq-e-KHudaa Gaa.ebaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
saaqii mujhe sharaab kii tohmat nahii.n pasand
mujh ko tirii nigaah kaa ilzaam chaahiye
Abdul Hamid Adam
Sher
Siraj Faisal Khan
Sher
ye mohabbat kaa fasaana bhii badal jaa.egaa
vaqt ke saath zamaana bhii badal jaa.egaa
Azhar Lakhnawi
Sher
yahii zindagii musiibat yahii zindagii musarrat
yahii zindagii haqiiqat yahii zindagii fasaana
Moin Ahsan Jazbi
Sher
mujhe pasand nahii.n aise kaarobaar me.n huu.n
ye jabr hai ki mai.n KHud apne iKHtiyaar me.n huu.n
Adil Mansuri
Sher
the ham to KHud-pasand bahut lekin ishq me.n
ab hai vahii pasand jo ho yaar ko pasand