SEARCH RESULTS
Showing search results for "fauq"
Sher MATCHES FOR "fauq"
Sher
Hanif Fauq
Sher
ik janam ke pyaase bhii sair ho.n to ham jaane.n
yuu.n to rahmat-e-yazdaa.n chaar-suu barastii hai
Hanif Fauq
Sher
unhe.n kyaa fikr ki puuchhe.n dil-e-biimaar kaa haal
be-niyaazaana vo andaaz-e-suKHan hai ki jo thaa
Hanif Fauq
Sher
Gairat tumhaare naam se sharmaa rahii hai aaj
kahte ho apne aap ko KHuddaar chup raho
Dr. Fauq Kareemi
Sher
mai.n ne apnii palko.n par Gam-kade sajaa.e hai.n
aarzuu ke maatam me.n sogvaar hastii hai
Hanif Fauq
Sher
vaqt kii laash pe rone ko jigar hai kis kaa
kis janaaze ko liye ahl-e-nazar aate hai.n
Hanif Fauq
Sher
chashm-e-nargis ko havas hai ki chaman me.n dekhe
aatish-e-gul ke bha.Dakne kaa samaa.n kyaa hogaa
Hanif Fauq
Sher
phir mashiyyat se ulajhtii hai mirii diivaangii
naala-e-shab-giir ashko.n ke guhar kaafii nahii.n
Hanif Fauq
Sher
kitnii naadiida bahaaro.n kii tamannaa-e-javaa.n
daaman-e-jaa.n me.n mire aag lagaa detii hai
Hanif Fauq
Sher
Hanif Fauq
Sher
ham ko pata hai KHuub tumhaaraa hai zohd kyaa
ai mubtalaa-e-taqvaa-o-pindaar chup raho
Dr. Fauq Kareemi
Sher
akbar dabe nahii.n kisii sultaa.n kii fauj se
lekin shahiid ho ga.e biivii kii nauj se
Akbar Allahabadi
Sher
us ne majbuur-e-vafaa jaan ke mu.nh pher liyaa
mujh se ye bhuul hu.ii puuchh liyaa kaise ho
Anjum Fauqi Badayuni
Sher
havaas-o-hosh ko chho.D aap dil gayaa us paas
jab ahl-e-fauj hii mil jaa.e.n kyaa sipaah kare
Meer Mohammadi Bedar
Sher
izzat kaa hai na auj na nekii kii mauj hai
hamla hai apnii qaum pe lafzo.n kii fauj hai
Akbar Allahabadi
Sher
maatam me.n faut-e-umr ke rotaa huu.n raat din
duniyaa me.n mujh saa kam hai ko.ii sogvaar shaKHs