SEARCH RESULTS
Showing search results for "fikr-e-KHaam"
Sher MATCHES FOR "fikr-e-KHaam"
Sher
vo aa.e bazm me.n itnaa to 'fikr' ne dekhaa
phir is ke baa'd charaaGo.n me.n raushnii na rahii
Altaf-ur-rehman Fikr Yazdani
Sher
har vaqt fikr-e-marg-e-Gariibaana chaahiye
sehhat kaa ek pahluu mariizaana chaahiye
Majeed Amjad
Sher
fikr-e-me.aar-e-suKHan baa.is-e-aazaar hu.ii
ta.ng rakkhaa to hame.n apnii qabaa ne rakkhaa
Iqbal Sajid
Sher
tah kar chuke bisaat-e-Gam-o-fikr-e-rozgaar
tab KHaanqaah-e-ishq-o-mohabbat me.n aa.e hai.n
Amir Hamza Saqib
Sher
kyaa fikr-e-aab-o-naan ki Gam kah rahaa hai ab
maujuud huu.n ziyaafat-e-dil aur jigar ko mai.n
Ismail Merathi
Sher
vo aur ho.nge jin ko hai fikr-e-ziyaan-o-suud
duniyaa se be-niyaaz hai merii Gazal kaa rang
Maya Khanna Raje Barelvi
Sher
Dilawar Figar
Sher
ai zulf-e-KHam-ba-KHam tujhe apnaa hii vaasta
hamvaar hone paa.e na umr-e-ravaa.n kii raah
Jafar Tahir
Sher
rahne de zikr-e-KHam-e-zulf-e-musalsal ko nadiim
us ke to dhyaan se bhii hotaa hai dil ko uljhaa.o
Dattatriya Kaifi
Sher
dilo.n ko fikr-e-do-aalam se kar diyaa aazaad
tire junuu.n kaa KHudaa silsila daraaz kare
Hasrat Mohani
Sher
Parvez Shahidi
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
dayaar-e-fikr-o-hunar ko nikhaarne vaalaa
kahaa.n gayaa mirii duniyaa sa.nvaarne vaalaa
Farrukh Zohra Gilani
Sher
har ko.ii apnii fahm-e-naaqis me.n
puKHta saudaa-e-KHaam rakhtaa hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
bahut mushkil hai duniyaa kaa sa.nvarnaa
tirii zulfo.n kaa pech-o-KHam nahii.n hai
Asrarul Haq Majaz
Sher
iraade phir bhii mustahkam bahut hai.n
mirii raaho.n me.n pech-o-KHam bahut hai.n